Lata Mangeshkar feat. Kishore Kumar & Madan Mohan - Tere Bina Zindagi Se (with Narration) Lyrics

Lyrics Tere Bina Zindagi Se (with Narration) - Lata Mangeshkar , Kishore Kumar , Madan Mohan




R. D. Burman ko
Western music dene ka bahut shauq hai
Lekin iska yeh matlab nahin hai
Hindustani music nahin de sakte
Bahut khoobsurati se de sakte hain
S. D. Burman ke ladke hain woh
Agar baap mein itni salaahiyyat hai
Toh beta bhi peechhe nahin reh sakta
Lekin agar zara hatke banaaye
Toh bahut khoobsurati se ban sakta hai unka music
Tere bina zindagi se koi shikwa toh nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi toh nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
Tere bina zindagi se shikwa toh nahin
Kaash aisa ho, tere qadmon se
Chun ke manzil chale aur kahin, door kahin
Kaash aisa ho, tere qadmon se
Chun ke manzil chale aur kahin, door kahin
Tum 'gar saath ho, manzilon ki kami toh nahin
Tere bina zindagi se koi shikwa toh nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Jee mein aata hai, tere daaman mein
Sar chhupa ke hum rote rahein, rote rahein
Jee mein aata hai, tere daaman mein
Sar chhupa ke hum rote rahein, rote rahein
Teri bhi aankhon mein aansuon ki nami toh nahin
Tere bina zindagi se koi shikwa toh nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi toh nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
Tum jo keh do toh aaj ki raat
Chaand dubega nahin, raat ko rok lo
Tum jo keh do toh aaj ki raat
Chaand dubega nahin, raat ko rok lo
Raat ki baat hai, aur zindagi baaqi toh nahin
Tere bina zindagi se koi shikwa toh nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi toh nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
Tere bina zindagi se shikwa toh nahin



Writer(s): Gulzar, Rahul Dev Burman



Attention! Feel free to leave feedback.