Nusrat Fateh Ali Khan - Ya Muhammad Noor Ho Tum - traduction des paroles en anglais




Ya Muhammad Noor Ho Tum
O Muhammad, You Are Light
Ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe
Oh God, as long as this soul remains in my body,
Tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
May I be sacrificed for you and your beloved.
Kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer
Whether anything remains or not, this is my prayer, O Lord,
Niza ke waqt salaamat mera imaan rahe
May my faith be safe at the time of judgment.
Meri chashme alam namnaak karde
Make my eyes tearful,
Mujhe aalaishon se paak karde
Cleanse me from desires.
Mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab
I need nothing, O Lord,
Ghulam e sayyid e laulaak karde
Make me a servant of the Master of Laulak.
Zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai
When the name of Muhammad Mustafa comes to my tongue,
Badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai
Great peace and comfort come.
Muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai
The name of Muhammad Mustafa is truly magnificent,
Jahaan koi na kaam aaye wahaan yeh kaam aata hai
Where nothing else works, it works.
Taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
God takes the name of Muhammad with reverence,
Kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
What a name, O friend of God, the name of Muhammad.
Allah kare uspe haraam atishe do zakh
May God forbid the fire of hell upon him,
Jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad
On whose heart is written the name of Muhammad.
Khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai
The light of God is within you, completely,
Khuda pinha magar tu ru ba ru hai
God is hidden, but you are face to face.
Teri azmat ka andaaza ho kisko
Who can fathom your greatness,
Khuda hai aur khuda ke baad tu hai
There is God, and after God, there is you.
Ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam
O Prophet, you are truly light, I swear by the manifestation of God,
Jaise tum ho nahi aisa koi imaan ki kasam
There is no one like you, I swear by faith.
Isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha
I have seen Jesus, I have seen Moses,
Haroon ki bhi dekha par koi nahi aisa jaise tum ho
I have seen Aaron, but there is no one like you.
Phire zamaane mein chaar jaanib
I wandered the world in all four directions,
Nigar e yakta tumhi ko dekha
I saw only you, the unique image.
Haseen dekhe jameel dekhe
I have seen the beautiful, the charming,
Par ik tumsa tumhi ko dekha
But I have seen only you like yourself.
Tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka
No one could be your equal in Prophethood,
Tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka
There is no answer to you anywhere.
Rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
Other prophets came to the world, but
Koi bhi saahib ul mulk ki taab ho na saka
No one could bear the burden of sovereignty like you.
Aam hain rehmatein zamaane par
Blessings are common in the world,
Rehmaton ka koki jawaab nahi
But there is no answer to your blessings.
Tere qurbaan ya rasool allah
I sacrifice myself for you, O Messenger of God,
Tera konain mein jawaab nahi
There is no answer to you in the universe.
Aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya
The Creator made you so elegant,
Yusuf ko tera taalib e deedaar banaaya
He made Joseph a seeker of your vision.
Konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir
The worlds were created for the sake of the leader,
Konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya
And you were made the leader for the sake of the worlds.
Martaba haq se kisi aur ko aisa na mila
No one else received such a rank from the Truth,
Taaj khusro ki kasam takht e suleiman ki kasam
I swear by the crown of the king, by the throne of Solomon.
Dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
There is no one as beautiful as you in both worlds,
Shah e yasrabi tere husn ki kise taab jo kare humsareen
O King of Yasrab, who can bear the brilliance of your beauty?
Na gulon mein aisi shaguztabi
No such freshness in flowers,
Na yeh rang o bu yeh taazgi
No such color, fragrance, and freshness,
Yeh anokhi chhab yeh nayi phaban
This unique charm, this new elegance,
Yeh adaayein pyaari yeh saadgi
These lovely manners, this simplicity.
Teri misl koi hua na ho
There has never been anyone like you,
Tere sadke jaaun pyare nabi
I sacrifice myself for you, beloved Prophet.
Arbaab e nazar ko koi aisa na milega
The discerning eyes will find no one like you,
Banda toh mil hi jaayega maula na milega
They may find a servant, but they will not find the Master.
Taareekh agar dhoondhegi saani e muhammad
If history searches for a second Muhammad,
Saani toh badi cheez hai saaya na milega
A second is a big thing, they won't even find a shadow.
Roya shab e hijra mein bahut ashq bahaaya
I cried on the night of Hijra, I shed many tears,
Itne mein musavvir ko zara reham jo aaya
Then the painter felt some pity,
Nakshe kayin tasvir ke woh saamne laaya
He brought many pictures and portraits before me,
Bola ke yeh isa hain yeh yusuf yeh musa
He said, "This is Jesus, this is Joseph, this is Moses."
Maine kaha inmein se kisi par nahi shaida
I said, "I am not enamored with any of them."
Jab saamne wo laaya woh shabeehe shah e waala
When he brought forth the image of the King of Medina,
Besaakhta us waqt zubaan se meri nikla
Unintentionally, these words escaped my tongue:
Mukh chand badr shah shaani e
Face like the moon, a king of great majesty,
Maththe chamke laat nooraani e
Forehead shining with divine light,
Kaali zulf te ankh mastaani e
Black curls and intoxicating eyes,
Makhmoor ankhi in madd bhariyaan
Intoxicating eyes, full of passion,
Teri soorat nu main jaan aakhan
I see your face and I sigh,
Jaan aage jaan jahaan aakhan
My life goes on, my world sighs,
Sach aakhan te rabb di shaan aakhaan
I speak the truth, and I speak of God's glory,
Jis shaan toh shaanan sab baniyan
From whose glory all glories are created.
Subhaanallah mah ajmal ka
Glory be to God, the most beautiful,
Mah aasan ka mah akmal ka
The moon of ease, the moon of perfection,
Kithe mehar ali kithe teri sana
Where is Mehar Ali, where is your praise,
Gustaakh ankhi kithe jaa lariyan
Where have these insolent eyes wandered?
Dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
There is no one as beautiful as you in both worlds,
Maahe taaba ki kasam mehar e darakhshaah ki kasam
I swear by the shining moon, by the radiant sun.
Ya muhammad teri soorat hai khuda ki soorat
O Muhammad, your face is the face of God,
Log bante hain wali unki ghulami se fana
People become saints, annihilated in your servitude,
Ghaus ul azam ki kasam hind ke sultan ki kasam
I swear by Ghaus ul Azam, by the Sultan of Hind.





Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan


Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.