Abida Parveen - Dard-E-Dil Bhi текст песни

Текст песни Dard-E-Dil Bhi - Abida Parveen




Dard-e-dil bhī ġham-e-daurāñ ke barābar se uThā
Aag sahrā meñ lagī aur dhuāñ ghar se uThā
Tābish-e-husn bhī thī ātish-e-duniyā bhī magar
Sho.ala jis ne mujhe phūñkā mire andar se uThā
Kisī mausam faqīroñ ko zarūrat na rahī
Aag bhī abr bhī tūfān bhī sāġhar se uThā
Be-sadaf kitne dariyāoñ se kuchh bhī na huā
Bojh qatre thā aisā ki samundar se uThā
Chāñd se shikva-ba-lab huuñ ki sulāyā kyuuñ thā
Maiñ ki ḳhurshīd jahāñ taab Thokar se uThā



Авторы: Abida Parveen


Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.