Abida Parveen - Nisar Mein - перевод текста песни на английский

Текст и перевод песни Abida Parveen - Nisar Mein




Nisar Mein
Nisar Mein
Nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
I devote myself to the streets of my homeland
Nisār maiñ...
I devote myself...
Nisār maiñ...
I devote myself...
Nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
I give my all to the streets of my homeland
Chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
It has become the custom that no one walks with their head held high
Chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
It has become the custom that no one walks with their head held high
Jo koī chāhne vaalā tavāf ko nikle
Whoever wishes to visit the streets abroad
Nazar churā ke chale jism o jaañ bachā ke chale
Must avert their gaze and flee for safety
Hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushād
For lovers, this is the decree of binding and release
Hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushād
For lovers, this is the decree of binding and release
Ki sañg-o-ḳhisht muqayyad haiñ aur sag āzād
Stones and bricks are confined, while dogs roam free
Bahut hai zulm ke ...
The hands of those who seek pretexts are full of tyranny...
Bahut hai ...
Full of...
Bahut hai zulm ke dast-e-bahāna-jū ke liye
The hands of those who seek pretexts are full of tyranny
Jo chand ahl-e-junūñ tere nām-levā haiñ
Those few passionate ones who bear your name
Bane haiñ ahl-e-havas mudda.ī bhī munsif bhī
Have become both the plaintiffs and the judges
Kise vakīl kareñ kis se munsifī chāheñ
Who shall we appoint as our advocate? Whom shall we seek judgment from?
Magar guzārne vāloñ ke din guzarte haiñ
But the days of the oppressors pass
Magar guzārne vāloñ ke din guzarte haiñ
But the days of the oppressors pass
Tire firāq meñ yuuñ sub.h o shaam karte haiñ
Thus we spend our mornings and evenings in your separation
Bujhā jo rauzan-e-zindāñ to dil ye samjhā hai
When the prison cell darkens, my heart believes
Bujhā jo rauzan-e-zindāñ to dil ye samjhā hai
When the prison cell darkens, my heart believes
Ki terī maañg sitāroñ se bhar ga.ī hogī
That your hair will be adorned with stars
Chamak uThe haiñ salāsil to ham ne jaanā hai
When the chains begin to glow, we know
Chamak uThe haiñ salāsil to ham ne jaanā hai
When the chains begin to glow, we know
Ki ab sahar tire ruḳh par bikhar ga.ī hogī
That the light of dawn will break upon your face
ġharaz tasavvur-e-shām-o-sahar meñ jiite haiñ
In essence, we live in the thoughts of day and night
Giraft-e-sāya-e-dīvār-o-dar meñ jiite haiñ
We live in the shadow of walls and doors
Yūñhī hamesha ulajhtī rahī hai zulm se ḳhalq
In this way, the people have always been ensnared by tyranny
Yūñhī hamesha ulajhtī rahī hai zulm se ḳhalq
In this way, the people have always been ensnared by tyranny
Na un rasm na.ī hai na apnī riit na.ī
Their ways are not new, nor are our customs new
Yūñhī hamesha khilā.e haiñ ham ne aag meñ phuul
In this way, we have always planted flowers in the fire
Yūñhī hamesha khilā.e haiñ ham ne aag meñ phuul
In this way, we have always planted flowers in the fire
Na un haar na.ī hai na apnī jiit na.ī
Their defeat is not new, nor is our victory new
Isī sabab se falak gila nahīñ karte
For this reason, we do not blame destiny
Isī sabab se falak gila nahīñ karte
For this reason, we do not blame destiny
Tire firāq meñ ham dil burā nahīñ karte
In our separation from you, we do not bear a grudge
Tire firāq meñ ham dil burā nahīñ karte
In our separation from you, we do not bear a grudge
Gar aaj tujh se judā haiñ to kal baham hoñge
If we are separated today, we will be reunited tomorrow
Ye raat bhar judā.ī to koī baat nahīñ
This overnight separation is nothing
Gar aaj auj pe hai tāla-e-raqīb to kyā
If today the lock of your rival is at its peak
Ye chaar din ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
His brief power is nothing
Ye chaar din ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
His brief power is nothing
Jo tujh se ahd-e-vafā ustuvār rakhte haiñ
Those who keep the covenant of loyalty with you
Ilāj-e-gardish-e-lail-o-nahār rakhte haiñ
Have the remedy for the uncertainties of day and night
Nisār maiñ...
I devote myself...
Nisār maiñ...
I devote myself...
Nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
I devote myself to the streets of my homeland
Nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
I devote myself to the streets of my homeland
Chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
It has become the custom that no one walks with their head held high
Chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
It has become the custom that no one walks with their head held high






Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.