Qari Waheed Zafar Qasmi - Ajab Hai Kaif Lyrics

Lyrics Ajab Hai Kaif - Qari Waheed Zafar Qasmi



Ajab hai kaif ajab hai khumar aankhon me
Basa hua hai nabi (saw) ka dayar aankhon me
Jo aayi yaden madina to ansuon ki tarah
Jo paa liya hai use beqarar aankhon me
Khade hue hain tere dar pe tere deewane
Wafa ki nazr liye ashk baar aankhon me
Qasam khuda ki madina jinhonne dekha hai
Main dhoondh lunga wo ankhen hazar aankhon
Metasawwurat me taiba hai roo baroo shayar
Rachi hui hai mujassam bahaar aankhon me
Ajab hai kaif ajab hai khumar aankhon me
Basa hua hai nabi (saw) ka dayar aankhon me



Writer(s): Qari Waheed Zafar Qasmi


Qari Waheed Zafar Qasmi - Bahar-e-Madina
Album Bahar-e-Madina
date of release
15-01-2008




Attention! Feel free to leave feedback.