Bally Sagoo feat. Shabnam Majid - Tum Bin Jiya Udhas paroles de chanson

paroles de chanson Tum Bin Jiya Udhas - Bally Sagoo feat. Shabnam Majid



Tum Bin Jiya udas sajna aa ja meray paas
Tum Bin Jiya...
Tum Bin Jiya udas sajna aa ja meray paas
Tum Bin Jiya...
Chand Ki aas Chakori ko mujh ko teri aas
Tum Bin Jiya...
Tum Bin Jiya udas sajna aa ja meray paas
Tum Bin Jiya...
Pagal ankhen her ek shay mein sajna tujh ko dhunden,
Pagal ankhen her ek sahy mein sajna tujh ko dhunden
Tum bin aag lagayen dil mein ye sawan ki boonden
Tu jo nahi to mann ko na bhaye in phoolon ki baas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas sajna aa ja meray paas
Tum bin jiya...
So gaya chanda, so gaye taare, so gayi duniya sari
So gaya chanda, so gaye taare, so gayi duniya sari
Ab to aa ja sangdil sajna tu jeeta main haari
Lamha lamha barhti jaye in akhion ki pyaas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas sajna aa ja meray paas
Tum bin jiya...
Toot gaye hain ek ek kar k saare sundar sapne
Toot gaye hain ek ek kar k saare sundar sapne
Begaane to begaane they tum bhi rahe na apne
Dil bhi haara jaan bhi fida ki pyar na aya raas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas sajna aa ja mere paas
Tum bin jiya udaas...
Chand ki aas chakori ko mujh ko teri aas
Tum bin jiya...




Bally Sagoo feat. Shabnam Majid - The Hits - EP
Album The Hits - EP
date de sortie
21-10-2011



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.