Nusrat Fateh Ali Khan - Kamli Waale Nigah E Karam paroles de chanson

paroles de chanson Kamli Waale Nigah E Karam - Nusrat Fateh Ali Khan



Bahut aise hain jo tewo tabar rakhte hain
Bahut aise hain jo ilm o hunar rakhte hain
Bahut aise hain jo hashmat o zar rakhte hain
Ham faqat teri kareemi pe nazar rakhte hain
Kamli wale nigahe karam ho agar
Na dawa chaahiye na shafa chaahiye
Main mareez e muhabbat hoon mujhko toh bas
Ik nazar ya habeeb e khuda chaahiye
Ab toh ho nazre rehmat mere mustafa
Gham ka maara hoon besahaara hoon
Kuch bhi hoon aaka main tumhaara hoon
Aa jaye yasrat tumhari ik nazar darkaar hai
Ik nazar ehmat ki ho jaaye toh beda paar hai
Tu hi sultan e aalam ya muhammad
Zaroo e lutf sooe mann nazar kun
Ab toh ho nazre rehmat mere mustafa
Aakhiri waqt hai tere bemaar ka
Kuch bhi iske siwa main nahi maangta
Tere daaman ki thandi hawa chaahiye
Talkhi e hashar kya humko tadpaayegi
Khud hi kadmon mein jannat chali aayegi
Baat bigdi hui sab ki ban jayegi
Bas tere naam ka aasra chaahiye
Maut kuch bhi nahi maut se kyun darun
Ek jaan ke fida laakh jaane karun
Roz marke jeeyun roz jee ke marun
Par madine mein aani kaza chaahiye
Taajdare do aalam habeeb e khuda
Kaun jaane ke kitna hai rutba tera
Chaahte hai do aalam khuda ki raza
Rabb e aalam ko teri raza chaahiye
Tu hi eemaan se hamko waaiz bata
Kisse mangein bhala mustafa ke siwa
Ambiya bhi pukaarenge mehshar ke din
Mustafa chaahiye mustafa chaahiye
Nekiyan karne waale hain yeh sochta
Khaali ′Sayim' ka daaman hai aabal se
Panj tan ki ghulami mili hai mujhe
Maghfirat ke liye aur kya chaahiye



Writer(s): SAIM CHISHTI, NUSRAT FATEH ALI KHAN


Nusrat Fateh Ali Khan - Unheard Gems Nusrat Fateh Ali Khan
Album Unheard Gems Nusrat Fateh Ali Khan
date de sortie
21-09-2012




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.