Teesri Duniya - Aaja Na paroles de chanson

paroles de chanson Aaja Na - Teesri Duniya



Taaro se baatein karte hain
Kya jaane kya kya kehte hain
Andar andar ghut marte hain
Aaja na sharma
Seedhi saadhi duniya mein ye
Bhole bachpan ke mele mein
Khudko dhundhe firte hain ye
Aaja na sharma
Maili yaadein dhundhli hoti
Chupta khud se dhundhe khudko
Maane na khudke hi kal ko
Aaja na sharma
Aaja na
Aaja na
Taaro se baatein karte hain
Kya jaane kya kya kehte hain
Andar andar ghut marte hain
Aaja na sharma
Seedhi saadhi duniya mein ye
Bhole bachpan ke mele mein
Khudko dhundhe firte hain ye
Aaja na sharma
Maili yaadein dhundhli hoti
Chupta khud se dhundhe khudko
Maane na khudke hi kal ko
Aaja na sharma
Likh ke hi seekha jeene ka tareeka
Manzoor na kiya tera ye saleeka
Kyu door hu sabse main khaas sabhi ka
Yuh kalam bhi becha udhaar kavi ka
Tha kirnon ko roka udaas ravi tha
Kyu chup sa tu rehta udaar kahi ka
Khudi ko hi pooje vyaapar kavi ka
Sheeshe se hi hota sudhaar sabhi ka
Bol du kya jo na jaanta
Khol du kya apni daastaan
Ye kis tarah se kahu mujhe satya mil na paata
Saath rehna tha na mere
Kya kahu, ki hu main pyar mein
Ghul raha hoon chandrama mein
Kya karu, na jaanu re
Jo abtak dhundh raha tha
Jaane vo kya hi tha
Kya hi tha, mujhe na pata
Main muskuraane ki wajah ab dhundhu
Khud se main puchu
Baatein ye baaki hain ankahi
Laati hain wapas ye sar zami
Lagta sab mujhko kyu ajnabee
Jabki hum baithe hain sab yahin
Zindadili hai ye khushnaseeb
Ye saansein jo chalti to main ameer
Is pal ko main yaadon mein bhar lu, tijori saja ke tarazu par rakh du
Jo abtak dhundh raha tha
Jaane vo kya hi tha
Kya hi tha, mujhe na pata
Main muskuraane ki wajah ab dhundhu
Khud se main puchu
Phass sa gaya main tere hi jaadu mein
Kho ne ko sab kuch jab cheezein thi kaabu mein
Likha tha khat maine tere hi naam ka
Khat mein tha likha waqt teri udaan ka
Taaro se baatein karte hain
Kya jaane kya kya kehte hain
Andar andar ghut marte hain
Aaja na sharma
Seedhi saadhi duniya mein ye
Bhole bachpan ke mele mein
Khudko dhundhe firte hain ye
Aaja na sharma
Maili yaadein dhundhli hoti
Chupta khud se dhundhe khudko
Maane na khudke hi kal ko
Aaja na sharma
Aaja na
Aaja na



Writer(s): Karun Kohli


Teesri Duniya - Aaja Na
Album Aaja Na
date de sortie
14-11-2020



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.