Piyush Mishra - O Re Manvaa текст песни

Текст песни O Re Manvaa - Piyush Mishra



O re manvaa sangam hai
Baarish ki boondon ka
Bandhan hai
O re manvaa sangam hai
Baarish ki boondon ka
Bandhan hai
Bijli ki thirkan
Baadal ki dhadkan
Aise mein kya main
Batau re kis kis ko
O re manvaa sangam hai
Baarish ki boondon ka
Bandhan hai
Bijli ki thirkan
Baadal ki dhadkan
Aise mein kya main
Batau re kis kis ko
Jeevan ke pairon ki
Runjhun hai
Runjhun mein saanson ki
Sargam hai
Jeevan ke pairon ki
Runjhun hai
Runjhun mein saanson ki
Sargam hai
Sargam mein bethe
Kitne hi pal hai
Kisko chupau, chupau main
Kis kis ko
O re manvaa sangam hai
Harr boond ki ek kahaani
Girke zameen pe samaye
Harr boond ki ek kahaani
Girke zameen pe samaye
Par jo bhi seepi
Ke hothon ko chuu le
Moti bann jaaye...
Harr boond ki ek kahaani
Girke zameen mein samaye
Par jo bhi seepi
Ke hothon ko chuu le
Moti bann jaaye...
Seepi kaha se milegi
Pucho samandar se jaa kar
Seepi kaha se milegi
Pucho samandar se jaa kar
Par jo samandar ke
Mann ko na bhaaye
Suni reh jaaye...
Lekin mann toh
Fir mann hai
Ye toh hai har dam
Ye har dam hai
Lekin mann toh
Fir mann hai
Ye toh hai har dam
Ye har dam hai
Kab ye udega
Kab ye thamega
Kaisa sunau, sunau
Main kis kis ko
O re manvaa
Sangam hai
Aao ki thehre
Ek pal yaha par
Raste se dhua utha hai
Aao ki thehre
Ek pal yaha par
Raste se dhua utha hai
Ek toh yahin ki
Sadak pe khatam hai
Duja jaata kaha hai
Manzil ko soche toh
Manzil toh hogi
Yaha pe nahi toh
Kahin pe toh hogi
Manzil ko soche toh
Manzil toh hogi
Yaha pe nahi toh
Kahin pe toh hogi
Mil jaegi wo kabhi toh
Jo bhi hai ye hi
Jeevan hai
Zada kaho ya ki
Kam kam hai
Jo bhi hai ye hi
Jeevan hai
Zada kaho ya ki
Kam kam hai
Iske iraade koi na jaana
Main puch aau, toh aau
Main kis kis ko
O re manvaa
Sangam hai
Baarish ki boondo ka sa...
O re manvaa sangam hai
Baarish ki boondon ka
Bandhan hai
Bijli ki thirkan
Baadal ki dhadkan
Aise mein kya main
Batau re kis kis ko
Aise mein kya main
Batau main kis kis ko
Manvaa...
Arey aise mein kya main
Batau main kis kis ko
Manvaa...
Arey aise mein kya main
Batau main kis kis ko
Manvaa...



Авторы: Piyush Mishra


Piyush Mishra - O Re Manvaa - Single
Альбом O Re Manvaa - Single
дата релиза
07-08-2020




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.