Abida Parveen - Dard-E-Dil Bhi Gham-E-Dauran Ke Songtexte

Songtexte Dard-E-Dil Bhi Gham-E-Dauran Ke - Abida Parveen




Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
Aag sehra mein lagi aur dhuwan ghar se utha
Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
Taabish e husn bhi thii aatish e dunya bhi magar
Shola jis ne mujhe phoonka mere ander se utha
Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
Kisi mausam ki faqeeron ko zaroorat na rahi
Aag bhi abr bhi tufaan bhi saghar se utha
Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
Chaand se shikwa-ba'lab hoon ke sulaya kyun tha
Mae ke khursheed e jahaan khwab ki thokar se utha
Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
Aag sehra mein lagi aur dhuwaan ghar se utha
Dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha




Attention! Feel free to leave feedback.