Ghulam Ali - Aawargi Songtexte

Songtexte Aawargi - Ghulam Ali

Apni awaaz ki larzish pe to kaabu paalo
Pyaar ke bol to hontho se nikal jaate hain
Apne tewar to sambhaalo ke koyi ye na kahe
"Dil badalte hain to chehre bhi badal jaate hain"
Ye is ghazal ka kaafiya hai "Aawargi"
Ye pesh kar raha hoon
Ye dil, ye paagal dil mera, ye dil ye, ye dil ye
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi

Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha, wo kya hua? Aawargi

Aawargi, aawargi...
Kal shab mujhe beshakl ki aawaz ne chaunka diya

Maine kaha, "Tu kaun hai?"
Maine kaha, "Tu kaun hai?" Usne kaha, "Aawargi"
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha, wo kya hua? Aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera
Kal shab mujhe beshakl ki aawaz ne chaunka diya
Maine kaha, maine kaha, maine kaha, maine kaha, maine kaha...
Maine kaha, "Tu kaun hai?" Usne kaha, "Aawargi"
Ye dil, ye paagal dil mera...
Ik ajnabi jhonke ne jab poochha mere gham ka sabab

Sehra ki bheegi ret par maine likha "Aawargi"
Ye dil, ye paagal dil mera...
Mujhe ek sher yaad aa gaya
Main sher pesh karta chalu
Ab main samjha tere ruksaar pe til ka matlab
Ab main...
Ab main samjha tere ruksaar pe til ka matlab
Daulat-e-husn pe darbaan bitha rakha hai
Ik ajnabi...
Ik ajnabi jhonke ne jab poochha mere gham ka sabab
Ik ajnabi, ajnabi, ajnabi, ajnabi...
Ik ajnabi jhonke ne jab poochha mere gham ka sabab
Sehra ki bheegi ret par...
Sehra ki bheegi ret par maine likha "Aawargi"
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher...
Bahut bareek baat thi
Doosra raag ho jaata hai lekin mehsoos nahin hota
Is sheher-, is-
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha, wo kya hua? Aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera...
Alfaaz hain ke, "Ye dard ki tanhaaiyan"
To iska effect
Ye dard ki tanhaaiyan, tanhaaiyan...
Ye dard ki tanhaaiyan, tanhaaiyan, tanhaaiyan, tanhaaiyan
Ye dard ki tanhaaiyan, ye dasht ka viraan safar
Hum log to ukhta gaye, hum log to, hum log to...
Hum log to ukhta gaye, apni suna, aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha, wo kya hua? Aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera...
Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwaab mein
Kal, kal...
Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwaab mein
Mohsin mujhe raas aayegi shaayad sada aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi
Is dasht mein ik sheher tha...
Is dasht mein ik sheher tha, wo kya hua? Aawargi
Ye dil, ye paagal dil mera kyun bujh gaya? Aawargi
Aawargi, aawargi, ye...

Attention! Feel free to leave feedback.