Asha Bhosle feat. Aarti Mukherji, Amit Kumar & Shailendra Singh - Aji Thahro Zara Dekho Lyrics

Lyrics Aji Thahro Zara Dekho - Amit Kumar , Asha Bhosle , Aarti Mukherji , Shailendra Singh




Aji thehro, zara dekho
Kuch socho, zara samjho
Aji thehro, zara dekho
Kuch socho, zara samjho
Ho, hum to mar jaayenge leke tera naam
Tut gaya jab dil to jeene se kya kaam
Ham to chale, jo kaha-suna ho maaf kar dena
Ho, jaate ho, jaan-e-jaana, aakhri salaam lete jaana
Hum ko wahaan na bulana, aakhri salaam lete jaana
Jaate ho, jaan-e-jaana
Pyaar na jaane paapi duniya to aa chal karein, yaara
Rail ki patri par so jaayein, mil jaaye chhutkaara
Jaldi kar, meri jaan tu, jaldi kar, meri jaan tu
Aji suniye, zara suniye, aise nadaan mat baniye
Oo, hum to kat jaayenge ab gaadi ke neeche
Wo aane waali hai do ghante ke peeche
Aisa hai to haath lagaakar humko uthaana
Oo, lete rahiye, mausam hai suhaana
Aakhri salaam lete jaana, jaate ho, jaan-e-jaana
Aakhri salaam lete jaana, jaate ho, jaan-e-jaana
Pyaar humara sach hai kitna dikhladein hum dono
Tel chhidak kar aag laga lein, jal jaayein hum dono
Jaldi kar, meri jaan tu, jaldi kar, meri jaan tu
Aji do pal ruk jaana ke hansega ye zamaana
Oo, humne to kar li hai jalne ki taiyari
Dabbe me paani tha, tel nahi tha, pyari
Maachis mein bhi aag nahi hai, kaisa zamana
Oo, lighter se kaam chalaana, aakhri salaam lete jaana
Jaate ho, jaan-e-jaana, aakhri salaam lete jaana
Jaate ho, jaan-e-jaana
Idhar aao, batlaayein hum, jaan-e-mann
Tumhein jaan dene ke laakhon jatan
Humein shauk marne ka kab hai, sanam
Bas ik baar kehdo, "Tumhaare hain hum"
Hum unke nahi jinki aadat buri
Magar ab to chori se tauba meri
Ab tauba, meri tauba, tauba-tauba, meri tauba
Aisa hai to phir, jaan-e-jaana, pyaar ka salaam lete jaana
Hum ko bhi yaar na bulana, yaar ka salaam lete jaana
Aisa hai to phir, jaan-e-jaana, pyaar ka salaam lete jaana



Writer(s): Laxmikant Pyarelal, Majrooh Sultanpuri



Attention! Feel free to leave feedback.