Emiway Bantai - Zindggi Jhand Lyrics

Lyrics Zindggi Jhand - Emiway Bantai



Intazar hai us waqt ka jab ghumunga main car mein,
Jo mujhko lena hai khud ke kamai ke aadhar pe,
Baazar mein jo chizein aaj mehangi hain mujhse far hain,
Panauti chanauti banke mujhpe sawar hai,
Deewar hi deewar hai,
Darar hi darar hai,
Kaamyabi farar hai,
Haan sab kuch bekar hai,
Zindagi mein, har ek cheez mein meri dikkat hai,
Batting karne milti hai toh pehli ball pe wicket hai,
Ticket hai kya, tere pas puchta hai TC,
Jis din main ticket liye bina karun travel aisi,
Jhand wali halaton ko leke main chala hun thoda bhandu,
Fir phi garmi me tujhe main thand ka maza dun kya.
Jhand hai. Jhand hai. Jhand hai.
Zindagi. Toh jhand hai.
School ke samay me main deemag se thoda paplu tha,
Aur thoda sa zyada kala mota golu thoda bablu tha,
Gablu tha main hight mein aur koi bhi aake fight de ke chal deta tha,
Bol ke main bal dikhata,
Raod gill hai, chote shood billa hai,
Takleef itni badi jitna Godjilla hai,
Mere andar ka ruh hona chahta rubaru,
Upar waley se hath jodkar cheenkh ke unse main puchu,
Safalta milti sabko hai, fafalta sirf main kyun,
Pareshan bat-ti sabme fir bhi fansta main hun,
Kyun. Kyun... Kyun.
Suna ra tum logon ko dastan ye,
Takleefon se bhara yeh rasta ye,
Chehre pe bhot bade wali hansi,
Gham ko chupane ka naqab tha yeh,
Jhand hai. Jhand hai. Jhand hai.
Zindagi. Toh jhand hai.
Sath jo hai deta woh bigadta halaat ko,
Raat ko na so saka kyun ki. main meri baat ko,
Likh raha tha kagaz ke panno pe,
Kano mein aawazein sunai deti thi tum kuch banoge,
Wo hi ek soch soch jo le ke chala roz roz kandhe pe mere bojh bojh,
Takleefein mujhe noch noch ke kha ri hain,
Mehnat ki gadi pe tera bhai ek sawari hai,
Haar na manunga chote koshish meri jari hai,
Iss khel ka khiladi main,
Khiladi main.
Haan. Ab meri bari hai!




Emiway Bantai - Zindggi Jhand
Album Zindggi Jhand
date of release
22-08-2020




Attention! Feel free to leave feedback.