Ghulam Ali - Humko Kisike Gham Ne Maara Lyrics
Ghulam Ali Humko Kisike Gham Ne Maara

Humko Kisike Gham Ne Maara

Ghulam Ali

Lyrics Humko Kisike Gham Ne Maara - Ghulam Ali

Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya (wah-wah, kya baat hai!)
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya (wah-wah)
Iska rona nahin kyun tumne kiya dil barbaad (wah-wah)
Iska gham hai ke bahut der main barbad kiya (wah-wah, kya baat hai!)
Hum ko kis ke gham ne maara...
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi (wah-wah)
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Kisne toda dil humara...
Kisne toda dil humara, ye kahani phir sahi

Dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke saamne (wah-wah)
Dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke saamne
Naam aayega tumhara, ye kahani phir sahi (wah-wah)
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Kisne toda dil humara...
Kisne toda dil humara, ye kahani phir sahi
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Nafraton ke teer kha kar doston ke shehar mein (wah-wah)
Nafraton ke teer kha kar doston ke shehar mein
Hum ne kis-kis ko pukaara, ye kahani phir sahi (wah-wah)
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Kisne toda dil humara...
Kisne toda dil humara, ye kahani phir sahi
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki raah mein
Kya batayein, kya batayein... (wah-wah)
Kya batayein, kya batayein...
Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta, kaun haara, ye kahani phir sahi (wah-wah)
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Kisne toda dil humara...
Kisne toda dil humara, ye kahani phir sahi
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahani phir sahi
Haan, ye kahani phir sahi
Ye, ye kahani phir sahi (wah-wah)

Attention! Feel free to leave feedback.
//}