Lyrics Hum Dekhen Ge - Iqbal Bano
Laazim
hai
ki
hum
bhi
dekhenge
Woh
din
jiskaa
ke
waada
hai,
Jo
lau-e-azl
mein
likha
hai
Jab
zulm-o-sitam
ke
koh-e-garaan
Rooi
ki
tarah
udd
jaayenge,
Hum
mehkoomon
ke
paaon
tale
Jab
dharti
dhad
dhad
dhadkegi,
Aur
ahl-e-hukam
ke
sar
oopar
Jab
bijli
kad
kad
kadkegi,
Jab
arz-e-khudaa
ke
kaabe
se
Sab
but
uthwaaey
jaayenge,
Hum
ahl-e-safaa
mardood-e-haram
Masnad
pe
bithaaey
jaayenge.
Sab
taaj
uchaaley
jaayenge.
Sab
takht
giraaey
jayyenge.
Bas
naam
rahega
Allah
kaa,
Jo
ghaayab
bhi
hai,
haazir
bhi,
Jo
manzar
bhi
hai,
naazir
bhi.
Utthegaa
'An-al-haq'
kaa
naara
Jo
main
bhi
hoon,
aur
tum
bhi
ho,
Aur
raaj
karegi
Khalq-e-Khuda
Jo
mai
bhi
hoon,
aur
tum
bhi
ho.
Attention! Feel free to leave feedback.