Jagjit Singh - Tu Kaun Hai Lyrics

Lyrics Tu Kaun Hai - Jagjit Singh



Aah ko chahye ik umar asar honay tak
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak
Dham her mauj mein hai halqa-e-sad kaam-e-nahang
Dekhen kya guzarti hai qatre pe gohar honay tak
Aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar honay tak
Hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
Khaak ho jayenge hum tum ko khabar honay tak
Partav-e-khoor se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
Main bhi hoon ek inaayat ki nazar honay tak
Yak-e-nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar honay tak
Gham-e-hasti ka ′Asad' kis se ho juz marg elaaj
Shamma har rang mein jalti hai sehar honay tak




Jagjit Singh - Jazbaat
Album Jazbaat




Attention! Feel free to leave feedback.