Jokhay feat. Talhah Yunus & JJ47 - Khafa Lyrics

Lyrics Khafa - Talhah Yunus , Jj47 , Jokhay



Kon hai tu, mujh ko bata Kon hai tuuuu,
Tu nai Khuda Kiun mujhse duur,
Kiaaa tu khafa, Kon haii tu, mujh ko bata
Mai dunya se naraaaz bhai,
Rakhe raaaz nai koi aaj mai furbaash bhai Dil mai rakhen batt nai,
Ye lafz shyad aj pac nai, Hatho hath ganay likhu rehte mujhe yaad nai,
Urdu rap nazar band mujh pe aaj bhi,
Mere liye kiu tu aaj bhi raaaten jaagti, Tu hi raaz jana,
Tu hi meri ajizi, Karne aya baat cheet, kahani bari dark thi,
Phir bhi shine kare bhai jese Diamond,
Tu Rihanna jese deti mujhe Time kam, Qaim hum,
Kiun lagaen jaa ke Time Bomb,
Lafz tor deta kese parengay phir rhymes kam,
Mere aagay kiun likharion ke mind band,
Mere aagay saaray labelon ki grind kam,
Jis bhi gaanay pe ajata woh rewind par
Aaj bhi kehta hu maine music ko dia time kam.
Kandhay pe bhoj, tanha betha mai tha sochraha,
Gaanay likhu roz ke ya jorun jaa ke note chaar,
Parhle beta saving pe chalrahay hum berozgaar, Chora apna ghar,
Apna shehr, apne dost yaar, School maara bunk,
Jokhay milne ata road paar, Dhabay walay tung,
Kha ke bhaagay bhi thay bohat baar,
Tamashay ki umeed se na ana meri maut par, Rozi roti dene wala rabb,
Kiun le koi shortcut,
Dunya se seekhta reh chora apne shauq nahi, Karna tha Hip
Hop par yahan chale sirf Pop bhai,
Khud bechogay passes tab jaa ke milta tha slot bhai,
Mehnat k balboota aj yahan pe kharaa,
Chonk nai, Liye thay jo shots woh chanda barae Hip
Hop, real talk, mere baray ziada bhonk nai, On the rocks,
Trending charts k ab Top pe hum gaanay daalen bina promotion ke yehi
Ab nokri, Kamyaabi flex karu rhymes ki ye tokrii,
Gaanay sun ke baawli, sambhaal apni chokri,
Hum bewafa nai bawafa hain tabhi dunya tok rahi Khana badosh mai,
Koi sarhad kese rokti, Mai nai zamanay se, jana ye hai zamana mera,
Khuda ka mehmaan, tere shehr bhi ho ana mera,
Artist tou martay hain yahan rozana Meri maut
K maatam mai ussi raat niklega naya tarana mera.
Kon hai tu, mujh ko bata Kon hai tuuuu,
Tu nai Khuda Kiun mujhse duur,
Kiaaa tu khafa, Kon haii tu, mujh ko bata
Der raat!
Be chain!
Utha bistar sey Puhancha studio aur krney hisaab betha baney rizla
Aur le Kay sharab betha Totay kitney ajjtk yeh ginney main khuwab
Betha farq parey kya bachi hui hasrat sey Sochta main kasrat sey
Dhondney jawab betha Sawalon kay Hal miley mujhe shayari main
Lafz itney likhey jaisay likhney kitaab betha Kya main asli hun!
Kya main jaali hun Kya main Ilam ka khazanan ya khali hun Kya main
Faiz hun ya shyari misali hun Kya main khusrau,
Patras ya Hali hun Kya main nashey main akhon Ki lali hun Mu sey jo
Nikli ghussey main Gali hun Kya main Basta dilon main Hun sbkey Kaan
Taras Gaye jo sunney ko wo Taali hun Lakin Kabhi kabhi Lagey jaisay
Idhar sabhi Katney ko dhondtey jo
Par they barhey hi nahi Tabhi abhi abhi!
Ankhien nechey awaz dabi Aesa Lagey Hun khud k
Hum kabhi liye larey hi nahi Kaisay haar manu!
Kaisay janey dun main Beshak sath mere mere log kharey hi nahi Ajj
Beejh Boyega to kal pait bharey Paird kaisay phal dey jiski jarien hi
Nahi Ankhie bund sochie cho rahi asmaan Aur main ass main k tu qismat
Awaz degi Main kaisey uthon roz larun dunya sey Jab adat pari hui
Bistar pe nashtey ki To hustle Sila khaak degi To hustle andhera main
Kya chirag degi To hustle krney sey kabhi thaktey nahi ajj bhi To
Hustle meri salon saal sath degi Aazma ley jitney atey tujhe
Tautkay Aik baar mu jo phera phir
Nahi ata laut kay Main tu idhar hi rahon!
Ye Jaisey jageer meri Girney sey darien na Jo
Aadi bari chaut kay Mujhse bat krna soch kay!
Main waqat sahey achey burey roz kay Lashien pari dekhi sidon
Pe road kay Hum to musafir baney phirtey hain Maut kay Sada baney!
Mera dard meri kalaa baney Main agar
Zakhmi to ganey mere dawa baney Urey hawa baney!
Kon kis ka bhala baney!
Jo jiski hustle krey usi ki to Jaga baney Kesay Shair meri shayari
Main shafa baney Kaatney ko Dorey yaha
Kon kis ka saga baney Lafz itney aatish!
Jalney ki Waja baney Mere marney baad mere geet mera Gawa baney
Kon hai tu, mujh ko bata Kon hai tuuuu,
Tu nai Khuda Kiun mujhse duur,
Kiaaa tu khafa, Kon haii tu, mujh ko bata




Jokhay feat. Talhah Yunus & JJ47 - Khafa
Album Khafa
date of release
21-10-2020

1 Khafa



Attention! Feel free to leave feedback.