Nusrat Fateh Ali Khan - Sadgi To Hamari Lyrics

Lyrics Sadgi To Hamari - Nusrat Fateh Ali Khan



Saadagi to hamari zara dekhiye,
Aitbaar aapke vaade per kar liya.
Saadgi to hamari zara dekhiye...,
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Masti mein ik haseen ko khuda kah gaye hain hum,
Jo kuch bhi keh gaye hein baja keh gaye hain hum.
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Aaa saadgi to hamari zara dekhiye...
Charofadgi to dekhu hamare khaloos ki,
Kis saadgi say tujhko khuda keh gaye hain hum.
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Kiss chop kiss tamanna kis darja sadgi se,
Hum aap ki shikayat karte hain aap hi se.
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Saadgi to hamari zara dekhiye...
Ik tere ata ki rodaad ho gaye hain hum,
Tere ata ki rodaad ho gaye hain hum,
Badhe khuloos se barbaad ho gaye hain hum.
Zara dekhiye,
Saadgi to hamari zara dekhiye.
Saadgi to hamari zara dekhiyeh.
Saadgi to hamari zara daikh′iyeh.
Aitbaar aapke vaade par kar liya.
Baat to sirf ik raat ki thi magar,
Intzaar aap ka umar bhar kar lia...
Ishq mein uljhane pehle hi kam na thi,
Aur paida naya dard-e-sir kar lia...
Log darte hain kaatil ki parchaayi se.
Humne qatil ke dil mein bhi ghar kar lia.
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha...
Shikwa kia, sitam ka to namdida ho gaye,
Tum to zara si baat par ranjida ho gaye.
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha...
Tera zulam nahi hai shamil gar meri barbadi mein,
Phir yeh aankhein bheeg rahi hain kyun mere afsaane se...
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha.
Zikakr ik bewafa aur sitamgar ka tha
Meri halat daikh ker tum kyun pareshan ho gaye,
Zikakr ik bewafa aur sitamgar ka tha...
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha,
Aap ka aise baaton se kya waasta...
Aap to bewafa aur sitamgar nahi,
Aap ne kis liye muh udhar kar lia...
Jab tulu aaftab hota hai gham ke sagar uchaal deta hoon,
Tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon.
Aap to bewafa aur sitamgar nahi...
Aap to bewafa aur sitamgar nahi
Kyun aankh milayi thi, kyun aag lagai thi.
Ub rukh kyun chupa baithe kar ke mujhe deewana...
Aap to bewafa aur sitamgar nahi...
Aap to bewafa aur sitamgar nahi
Zindagi-bhar ke shikwe-gile the bahot
Waqt itna kahan tha ke dohratay hum...
Ek hijki mein keh dali sub dastaan
Hum kisse ko yun mukhtasar kar lia,...
Beqarari milay gi mitega sukoon,
Chain chin jayega neend urh jayegi.
Apna anjaam sub hum ko maloom tha,
Aapse dil ka sauda magar kar lia...
Zindagi ke safar mein bahot dur tak,
Jab koi dost aaya na humko nazar.
Humne ghabra ke tanhaaiyon se sada,
Ek dushman ko khud humsafar kar lia...
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye,
Aitbaar Aapke Waday Per Kar Liya...
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye,
Aitebar Aapke Waade Per Kar Liya...



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan


Nusrat Fateh Ali Khan - Pilao Saqi, Vol. 58
Album Pilao Saqi, Vol. 58
date of release
01-01-1997




Attention! Feel free to leave feedback.