Nusrat Fateh Ali Khan - Yeh Teri Umar Jise Sab Shabab Kehte Hain Lyrics

Lyrics Yeh Teri Umar Jise Sab Shabab Kehte Hain - Nusrat Fateh Ali Khan




Yeh teri umar jise sab shabaab kehte hain
Badli hai waza taur se betaur ho gaye
Tum toh shabaab aate hi kuch aur ho gaye
Yeh teri umar jise sab shabaab kehte hain
Kasam khuda ki use ham sharaab kehte hain
Gulon ki yun toh chaman mein kami nahin lekin
Wo teri lab hain jinhein ham gulab kehte hain
Nazar nazar se milakar wo muskurate hain
Ise sawaal isi ko jawaab kete hain
Na unko mujhpe yakin hai na mujhko unpe yakin
Isi ko log dilon ka hisab kehte hain
Mili hain jo mujhe ruswayiyaan muhabbat mein
Zabaan e aam mein isko azaab kehte hain



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Ghulam Farid Fareedi


Attention! Feel free to leave feedback.