Zakir Sudhmahadev - DARINDA Lyrics

Lyrics DARINDA - Zakir Sudhmahadev



Aao sunaun tumko mein ik kahani
Kahani drinde ki ye meri zubani
Pata nahi woh darinda kahan ka
Iss jahan ka ya tha uss jahan ka
Khoobiyan toh kair uss mein thi hi nahi
Aur aadmi toh zara sa bhi lagta nahi
Insano ke aage pichhe rehta tha raat din
Hogya tha phir insano mein hi shamil
Hasil hona usko tha malum nahi kya kya
Darna tha logon ne ya milni thi wah wah
Samne se ladki guzarti thi roz
Darinde ne ik din diya usse rok
Darinde ne ladki pe gour jab kiya
Dekhte hi apne woh hosh kho gaya
Darinde ko hosh wahan aya jab tak
Ladki wahan se jaa chuki thi tab tak
Phir aahatein bhi uski mehsoos hone lagein
Chaaron aur batein bhi sunayi dene lagein
Par raat ab uski ab katne lagi
Sochta raha ke kab subha hogi
Kabhi Laga sone kabhi Laga uthne
Kabhi Laga chalne kabhi Laga rukne
Akhir kar woh ik din phir se mili
Aur ladki ne nazrein jhuka apni li
Ab kya kare ke hogya woh pareshan
Dekh dara usse aur hogya hairaan
Galti se pe phool pe jo hath pada
Pal mein hi bechara murjha gya
Ye dekh ladki toh dar hi gyi
Aur dar kar wahan se bhaag gyi
Aise hi din din beet te gye
Ek ek doosre ko dekhte rahe
Darinde ko usse toh piyar hogya tha
Par ladki ko bolna bhi lazmi toh tha
Raat din ladki ko sochta woh rehta
Kabhi uske paas kabhi door door rehta
Ladki bhi uske piyar mein pad gyi
Zara bhi na soch aur fanah khud ko kar gyi
Ladki ka usko jo hua izhaar
Mohabbat baya aur dono giraftar
Usse kya pata tha ke kya ghatega saman
Barbaad hogi khushi aise chalegi hawa
Piyar tha jisse woh toh na tha insaan
Usse kya pata tha ke kya hoga Nuqsaan
Dil ke woh hathon tha majboor
Par ladki ka soch ke hua usse door
Ab kya karun ye woh sochta raha
Iss masle ka hall woh khojta raha
Ladki ne Ik din zid kar di
Kehti ke kyun mujhe chhoote nahi
Idhar laao haath aur baitho mere paas
Karni hai tumse zaroori kuchh baat
Phir ladke ne ladki ko baat bata di
Alag thi duniya bayan woh kar di
Ye sun kar ladki ko hua afsos
Par ladki ne ladke ko kiya khamosh
Ladki hai kehti ke tum hi mere din raat
Raho tum sath toh tum hi meri zaat
Ye sunn ladka hairaan hua
Ladki Ko kehta ke karun ab kya
Ladki hai kehti ke kuchh bhi nahin
Bahon mein lelo mujhe ik baar sahi
Mout aye mujhe manzoor wohi
Ke mout aye mujhe manzoor wohi



Writer(s): Zakir Sudhmahadev


Zakir Sudhmahadev - Ek Pal
Album Ek Pal
date of release
05-02-2022




Attention! Feel free to leave feedback.