Maanu - Khwaab (feat. Mujju) paroles de chanson

paroles de chanson Khwaab (feat. Mujju) - Maanu



Aankhon mein thi masti
Na tha kabhi ye socha
Par dil millay dasti
Pata bhi nahi chala
Thi sab se tu alag si
Ab dekho kya hai hogaya
Ek hadh tak jo samajh thi
Wo hai chali gayi kahan?
Nazrein milltay hi hoagaya tha ehsaas ke
Khushian lay ke khari hai tu apnay haathon mein
Sochnay ki fursat hi na thi meray dimaagh mein
Aur meray dil mein chali aandhi, baat ab saaf hai
Tou aaja lay ke chaloon tujhay khwaab mein
Jo bhi kami hai wo poori kar lein gay hum baad mein
Bas darna nahi hai tu ne haan pyaar se
Baaki chor de sab tu meray pe, aaja chalein
Baatein gol nahi karni ab tu aaja meri baahon mein
Tu hi hai wohi jiss ka kar raha tha intezaar mein
Nakhray nahi hai karnay, pooray kar day meray sapnay
Kab se hun mein yun adhoora aaja meray se ye waaday kar lay
Haan ye dunya alag, hum alag hain
Baaki sab hain aam par hum tou farak hain
Zindagi hai mushkil par sabar hai
Agar magar chorro bolo agar koi qadar hai
Tou aaja aaja chalein door hum yahan se
Manzil hai anjaani par kisi tarah se
Mill hi gaye hain hum ab bhool jayein gay saaray ghum hum
Na sochein gay ziaada hum haan karo mujh se waada ke
Gum jayein gay hum
Dekho mein ne kardi
Chupi hui ye dil ki baat
Kya ki hai mein ne ghalti?
Ye tou waqt hi bataye ga
Par hai rehti tu hassti
Kaisay haan ye tou bata?
Kya khushi hai ye asli?
Ya hai koi ajab sa nasha?
Kismat hi lay ke aayi hum ko iss jahaan mein
Kar lay hum pe aitebaar bolo jo hai zubaan pe
Khushian bhi hain yahan bolo darnay ki kya baat hai?
Tension nahi hai laini kyun ke hum dono ab saath hain
Tou aaja gum jaatay hain hum khwaab mein
Jo bhi mushkil hogi banaani hum ne asaan hai
Bas darna nahi hai tu ne haan pyaar se
Baaki chor de sab tu meray pe, aaja chalein
Baatein gol nahi karni ab tu aaja meri baahon mein
Tu hi hai wohi jiss ka kar raha tha intezaar mein
Nakhray nahi hai karnay, pooray kar day meray sapnay
Kab se hun mein yun adhoora aaja meray se ye waaday kar lay
Haan ye dunya alag, hum alag hain
Baaki sab hain aam par hum tou farak hain
Zindagi hai mushkil par sabar hai
Agar magar chorro bolo agar koi qadar hai
Tou aaja aaja chalein door hum yahan se
Manzil hai anjaani par kisi tarah se
Mill hi gaye hain hum ab bhool jayein gay saaray ghum hum
Na sochein gay ziaada hum haan karo mujh se waada ke
Tou aaja qadam rakhein apnay khwaab mein
Dunya ko hilla dein apni iss baat se
Ke ek doosray ke liye jeenay ki waja se
Millta hai laazawaal sa samaa, chalein?
Nazron pe nazrein gira chalein
Inn ke jaaduon ko dara chalein
Hum dono rahein gay haan saath kharray
Har tarah ke aazaab se haan larhein
Har kisi ko hum ye bata chalein
Ke hum se na haar ki baat karein
Waqt ko yun apna bana chalein
Muft ki yain se aazaad kharay
Tum se hi tou seekha hai mein ne
Kis tarah se jeenay hai mein ne
Har mushkil ko peena hai
Haan har mushkil ko peena hai meinay
Tou agar magar choro kya meri khata hai?
Aisay sochnay mein ke ab mein aur tum aazaad hain
Hathkarhi hi nahi thi kabhi bhi iss khwaab pe
Zindagi se bachnay ka ye khwaab hi ilaaj hai
Harr koi humein kahay heer raanjha
Chorta kyun nahi hai zamaana?
Issi liye tou mein tujhay kahoon aaja
Likhein aik nayya afsaana
Aaja, aaja, gum hojayein hum
Aaja, aaja, gum hojayein hum
Aaja, aaja, gum hojayein
Aaja, aaja, gum hojayein hum
Aaja, aaja, gum hojayein hum
Aaja, aaja, gum hojayein



Writer(s): Rehman Afshar


Maanu - Khwaab
Album Khwaab
date de sortie
19-06-2020



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.