Nusrat Fateh Ali Khan - Jitne Bhi Zakhm Hain paroles de chanson

paroles de chanson Jitne Bhi Zakhm Hain - Nusrat Fateh Ali Khan



Gardishon ke hain maare hue na,
Dushmanon ke sataye hue hain
Jitne bhi zakhm hain mere dil par,
Doston ke lagaye hue hain
Aql ko rog maar dete hain
Ishq ko sog maar dete hain
Aadmi khud ba khud nahi marta
Doosre log maar dete hain
Log kaanton se bach ke chalte hain
Hamne phoolon se zakhm khaaye hain
Tum to gairon ki baat karte ho
Hamne to apne bhi aazmaye hain
Kaasa e deed leke duniya mein
Maine deedar ki gadayi ki
Mere jitne bhi yaar the sabne
Hasbe taufeeq bewafayi ki
Jab se dekha tera qaddo kaamad
Tumhein dekha to zaahid ne kaha ke imaan ki hai
Ke insaan ko sajda rawa hone ka waqt aaya
Aye mast e naaz dekhne waalon ke dil to dekh
Paamaal ho gaye tera dil dekh kar
Giraaya haath se sheesha surahi tod di maine
Jab se dekha tera qaddo kaamad
Sharaab seekh pe daali kabaab sheeshe pe
Jab se dekha tera qaddo kaamad
In aankhon se qayamat ki nishani kaun dekhega
But e kaafir teri uthti jawaani kaun dekhega
Jab se dekha tera qaddo kaamad dil pe tooti hui hai qayaamat
Har bala se rahe tu salaamat din jawaani ke aaye hue hain
Aur de mujhko de aur saaki
Kareeb aur bhi aao ke shauk e deed mite
Sharaab aur pilao ke kuch nasha utre
Apne dil e sad chaak ko see sakta hoon
Mehroom e karam hoke bhi jeee sakta hoon
Maukoof nahi jaam pe rindi meri
Saaki tere gusse ko bhi pee sakta hoon
Aur de aur de mujhko saaki hosh rehta hai thoda sa baaki
Aaj talkhi bhi hai inteha ki aaj wo bhi paraye hue hain
Kal the aabaad pehlu mein mere ab hai gairon ki mehfil mein dere
Meri mehfil mein kar ke andhere apni mehfil sajaaye hue hain
Apne haathon se khanjar chala kar kitna masoom chehra banaakar
Apne kaandhon pe ab mere qaatil meri mayyat uthaye hue hain
Mehvashon ko wafa se kya matlab in buton ko khuda se kya matlab
Inki masoom nazron ne ′Nasir' log paagal banaaye hue hain




Nusrat Fateh Ali Khan - Dil Lagi
Album Dil Lagi
date de sortie
03-03-2012




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.