Nusrat Fateh Ali Khan - Tere Darwaze Peh Chilman paroles de chanson

paroles de chanson Tere Darwaze Peh Chilman - Nusrat Fateh Ali Khan



Yeh kajravi na meri jaan ikhteyaar karo
Jo tumse pyar kare tum bhi usse pyar karo
Kaha jo maine dil beqaraar hai mera
Toh has ke kehne lage aur beqaraar karo
Dikhao jaam na bharkar main badakhuar nahi
Meri nazar ko nazar se gunahgaar karo
Mehak uthegi jawaani gulaab ki soorat
Haseen baahon ko mere gale ka haar karo
Mujhko tasleem main sharaabi hoon
Phir bhi fitrat ajeeb paayi hai
Main nazar se sharaab peeta hoon
Meri rindi bhi paarsaayi hai
Fikr e soodo ziyaan to chhutegi
Minnatein een o aan to chhutegi
Khair do zakh mein mai mile na mile
Sheikh sahib se jaan to chhutegi
Shikan na daal jabeen par sharaab dete hue
Yeh muskurati hui cheez muskura ke pila
Suroor cheez ke miqdaar par nahi maukoof
Sharaab kam hai toh saai nazar mila ke pila
Kuch murakke hain zindagani ke
Chand unwaan hain kahaani ke
Chandni zulf raqs sher sharaab
Mukhtalif naam hain jawaani ke
Sharaab e shauk ko masti mein laake pita hoon
Main masira ki nazar se chhupa ke pita hoon
Rakoon se jo baje sajde mein jaake pita hoon
Wo rind hoon jo khuda ko bhi kha ke pita hoon
Tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati
Jaan e jaan hamse yeh uljhan nahi dekhi jaati
Rukh pe yeh zulf ki uljhan nahi dekhi jaati
Phool ki god mein naagin nahi dekhi jaati
Behijabana milo hamse yeh parda kaisa
Band doli mein suhaagan nahi dekhi jaati
Jaam mein ho toh nazar aaye gulabi joda
Hamse botal mein yeh dulhan nahi dekhi jaati
Ghar banayein kisi sehra mein muhabbat ke liye
Shehar waalon se yeh jogan nahi dekhi jaati
Ham nazar baaz hain dikhla hamein tegi ka jamaal
Moorti hamse barahman nahi dekhi jaati
Aye fana kehde hawa se ke uda le jaayein
Hamse yeh khaak e nasheman nahi dekhi jaati



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Purnam Allah Abadi


Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-E-Qawwal Vol. 121
Album Best of Shahenshah-E-Qawwal Vol. 121
date de sortie
03-08-2011




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.