Nusrat Fateh Ali Khan - Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai (Full Version) paroles de chanson

paroles de chanson Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai (Full Version) - Nusrat Fateh Ali Khan



Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya
Ey Rehmat-e-tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-e-shouq (mein) Say Ghabra K P Gaya
Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-e-yaar Ki Shay Pa K P Gaya
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai
Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein
Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ub Adam Ka Yeah Haal Hai Har Waqt
Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai
Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
K Sharab Peena Sikha Diya
Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai
Teri Behki Behki Nigaah Nai
Mujhay Ik Sharabi Bana Diya
Sharab Kaisi Khumaar Kaisa
Yeah Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai
K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia...
Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam Must
Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must
Dil Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-e-must Say Her Khaas-o-aam Must
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Maikhane Mein Hai
Woh Bhi Thori Si Jo In Aankhon K Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-kari Ay Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka. Bus!
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya...
Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Meri Bandagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi, Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamnay Tu Aata Hai
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...
Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Keh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Doon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar
Mujhay Bhool Ja'ay Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon
Jo Pucha Shab-o-roz Milte Hain Kaise, To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deein
Jo Pucha K Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa, To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha, To Jalti Howi Chand Shamein Bhujha Deein
Main Kehta Reh Gaya Khata-e-mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di, Acha!
Mere Baad Kisko Satao Gay,
Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay
Meri Dosti Ki Balaein Lo
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do, Tumhein Ek Qatil Bana Diya
Mujhe Daikho Khuwahish-e-jan-e-jaan
Main Wohi Hoon Anwar-e-nim Jaan
Tumhain Itna Hosh Tha Jub Kahan
Na Chalao Is Tarah Tum Zaban
Karo Mera Shukriya Meherban
Tumhein Baat Karna Sikha Diya...
Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Kay Sharab Peena Sikha Diya



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Iqbal Kas


Nusrat Fateh Ali Khan - Inimitable Nusrat His 40 Rare & Unheard Sufi Songs and Qawwali Recordings Hits

1 Mera Piya Ghar Aaya
2 Mast Nazron Se Allah Bachaye
3 Akhiyan Udeek Diyan
4 Sun Charkhe Di Mithi Mithi Ghook
5 Dum Mast Qalander Mast Mast
6 Ali da Malang Main Te
7 Sohne Mukhre Da Lain De Nazara
8 Tum Ek Gorkhdhanda Ho
9 Mainu Yaar Di Namaaz Pad Lain Dey
10 Rabba Lakh Lakh Shukar Manawan
11 Hunjoo Akhiyan De
12 Kehde Ghar Jaawaan Ae Ho Khada Main Vicharda
13 Rog Soch Ke Mohabbatan De Layiye
14 Aewain Bol Na Banere Utte Kaawa
15 Sahib Teri Bandi Haaan Mandi Haan Ke Changi Haan
16 Ruttan Pyar Karan Diyan Aiyan
17 Tere Nahi Khayal Bhulde
18 Tasbi De Ik Ik Daane Te
19 Khali Morda Nahin Data Hajveri
20 Tumhe Dillagi Bhool Jaani Padegi
21 Jadon Mithi Neend Sondi Ay Khudai
22 Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai (Full Version)
23 Jinu Karna Ae Yaad Dila
24 Bandya Nu Jaana Painda Hai
25 Akhiyan Nu Chain Na Aave Sajna Ghar Aaja
26 Jado Da Tun Rus Gaya
27 Akh Bekadra Naal Layi Luk Luk Rona Pai Gaya
28 Mainu Sochan Diyan De Gaya
29 Je Tu Rab Nu Manauna
30 Dil Sulagta Raha Chandni Raat Mein
31 Dil Nu Soch Vichaar Bade Ne
32 Nargisi Aankh Dorey Gulabi
33 Je Tu Akhiyan De Samne Nahi Rehna
34 Mera Vichhra Sajan Ghar Aaya
35 Mahiyan Pardesi Ho Gaya
36 Tere Hundeya Sundeya Mehbooba
37 Saja Hai Maikhana
38 Mann Atkeya Beparwah De Naal
39 Gin Gin Taare Langdiyan Raatan
40 Kisse Nahi Teri Jaat Puchhni




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.