Sabri Brothers - Paisa Bolta Hai paroles de chanson

paroles de chanson Paisa Bolta Hai - Sabri Brothers



Ek tamheed ke taur pe shair pesh-khidmat hai
Ke samajh, samajh, ke samajh ke samjho
Samajh, samajh ke samajhna bhi samajh hai
Aur samajh, samjh ke bhi na jo samjhe, meri samajh mein wo na-samajh hai
Iski gehrai mein na jaye lekin alfazon ko mulahiza kejiye
Inhi chandi ke chamakte angaron mein
Allahhhhhh...
Cheekh uthti hai jawani, inhi jhankaron mein
Allahhhhhh...
Zar ke bandon ne bara shor macha rakha hai
Wahhhh
Yani sone, chandi ka yahan jaal bichah rakha hai
Baat ghairat ki agar hui to yun taal diaaa aur sharam ki laash pe daulat ka kafan daal dia
Aap jab tak ke zar lutayein ge
Aap jab tak ke zar lutayein ge
Aap ke zer-e-dast hai duniya
Arre khench ke hath tajurba karlo, kitni matlab parast hai duniya
To sansaar mein baje dhol
Apne ye ajeeb baat suni hogi, amuman insaan sawaal karte hain paise ka lekin paisa sawaal kar raha hai insaan se
To paisa kiya kehta hai...
Sansaar mein baje dhol
Ye duniya meri tarha hai gol
Ke paisa bolta hai (3)
Kesa bolta hai
Qaroon ne mujh ko pooja tha (2)
Firaun bhi mera sheda (2)
Shaddad ki jannat mujh se banni (2)
Namrood ki taqat mujh se barhi (2)
Jab charh gya mera khumaar (3)
Khuda ke hogai dawedaar
Ke paisa bolta hai (10)
Har shakhs hai mere chakar mein
Hai meri zaroorat ghar, ghar mein (2)
Jisse chahun wo khush-haal bane (2)
Jisse thukra dun kangaal bane (4)
Ye sheesh mahal, ye shaan (2)
Mere dam se paye dhanwan
Ke paisa bolta hai (10)
Ke mein apas mein larwata hun (3)
Lalach mein gala katwata hun (3)
Jahan mera saya lehrai (2)
Kasturi khoon bhi chup jai (4)
Mein keh deta hun saaf (2)
Mere hathon mein hai insaaf
Ke paisa bolta hai (10)
Kahin hadiya hun, khain rishwat hun (3)
Kahin ghunda tax ki soorat hun(4)
Kahin masjid ka mein chanda hun (2)
Kahin jaan ka gorakh dhanda hun (3)
Wo hain pakke mere yaar: Molvi, pandit, thanedaar
Ke paisa bolta hai (10)
Jab leader mein ban jaata hun (3)
Chakar mein qaum ko laata hun (3)
Phir aesa jaal bichahta hun (3)
Ke man ki muraadein paata hun (3)
Mein jispe laga dun note (2)
Na jaye bahar uska vote
Ke paisa bolta hai (10)
Har saaz mein hai sangeet mera (2)
Fankaar ke lab par geet mera
Har raks mein hai raftaar meri
Har gunghroo mein jhankaar meri
Ye mehfil ye sultan, ho gane wali ya qawaal
Ke paisa bolta hai (10)
Koi sahil tha, abaad raha
Meri zulfon se azaad raha (2)
Har dour mein zindabad raha
Aur donon jag mein shaad raha
Rab bakshe jisse emaan
Churaye mujhse apni jaan
Ke paisa bolta hai (10)



Writer(s): Sabri Maqbool Ahmed


Sabri Brothers - Sabri Brothers Live Concert Vol -16
Album Sabri Brothers Live Concert Vol -16
date de sortie
01-07-1980




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.