Lata Mangeshkar feat. Amitabh Bachchan - Yeh Kahan Aa Gaye Hum paroles de chanson

paroles de chanson Yeh Kahan Aa Gaye Hum - Lata Mangeshkar , Amitabh Bachchan



Main or meri tanhaai aksar ye baatein karte hain
Tum hoti toh kaisa hota, tum ye kehti, tum wo kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti
Tum hoti toh aisa hota, tum hoti toh waisa hota
Main aur meri tanhaai aksar ye baatein karte hain
Ye kahan aa gaye hum
Yun hi saath-saath chalte
Teri baanhon mein hai, jaanam, mere jism-o-jaan pighalte
Teri baanhon mein hai, jaanam, mere jism-o-jaan pighalte
Ye kahan aa gaye hum
Yun hi saath-saath chalte
Ye raat hai, ye tumhaari zulfein khuli hui hain
Hai chandni ya tumhaari nazaron se meri raate dhuli hui hain?
Ye chaand hai yeh tumhaara kangan?
Sitaare hain ye tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ye tumhaare badan ki khushbu
Ye pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuchh kaha hai
Ye sochta hoon main kab se gumsum
Ki jabki mujhko bhi ye khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho
Magar ye dil hai ki keh raha hai ki "Tum yaheen ho, yaheen kahin ho"
Oh, tu badan hai, main hoon chhaaya
Tu naa ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahaan hai, main wahan hoon
Humein milana hi tha, humdum
Kisi raah bhi nikalte
Ho, humein milana hi tha, humdum
Kisi raah bhi nikalte
Ye kahan aa gaye hum
Yun hi saath-saath chalte
Hmm, meri saans-saans mehke koi bheena-bheena chandan
Tera pyaar chandni hai, mera dil hai jaise aangan
Hui or bhi mulaayam meri shaam dhalte-dhalte
Oh, hui or bhi mulaayam meri shaam dhalte-dhalte
Ye kahan aa gaye hum
Yun hi saath-saath chalte
Majaboor ye halaat idhar bhi hai, udhar bhi
Tanhaai ki ek raat idhar bhi hai, udhar bhi
Kehne ko bohot kuchh hai magar kisse kahein hum?
Kab tak yun hi khaamosh rahein aur sahein hum?
Dil kehta hai, "Duniya ki har ek rasm utha dein
Deewaar jo hum dono main hai, aaaj gira dein"
Kyun dil mein sulagte rahein, logon ko bata dein
Haan, humko muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil main yahi baat idhar bhi hai, udhar bhi
Ye kahan aa gaye hum
Yun hi saath-saath chalte
Ye kahan aa gaye hum
Ye kahan aa gaye hum



Writer(s): Javed Akhtar, Shiv Hari


Lata Mangeshkar feat. Amitabh Bachchan - Silsila (Original Motion Picture Soundtrack)
Album Silsila (Original Motion Picture Soundtrack)
date de sortie
18-05-1981



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.