Spitfire - Vartalap paroles de chanson

paroles de chanson Vartalap - Spitfire



Vartalap hai sangeen rakho kaan khulle,
Raza pe ras milega bas faras sa aage chalde,
Mrada ye bin taral ke, geet inke saare mal se,
Khojo hal ya fir main dhyan harlu tera chhal se.
Ghazal ke bol ye nape tule hai dil tarazu,
Main krishna ki hun bansuri tujhe main karlu kaabu,
Main bhasm karke tujhko hi rama lun tan pe apne,
Sapne hai anant jaise shiv main baitha banke sadhu.
Na hasra ka pata na kasht me kasar rahi,
Hai waqt mrat ye bas haan zindgi guzar rahi,
Main shakhs na bana to fir banuga main katha nahi,
Syahi na bahi ho aisi koi vyatha nahi,
Main naye balakon ko kehta rang lo kaagzaat,
Ye ban na chahte sitare main to ban ta raat,
Baatein chhodo betuki sudhar lo haayat,
Naam tumko pehle hi pata hai sabko kardu rakh.
(Hook)
Main panktiyo me karta hun ye saare gam banya
Gaanewala besharam ye dhun hai behaya,
Kala ko meri pahuchana hai mujhe charam pe,
Jalega dil suno ye geet kaafi garm sa,
Panktiyan hain shard aaj bhi hai thand kaafi,
Kaali syahi kaali ban rahi prachand kaafi,
Ye kehte mishra ji ladka gaata mand kaafi,
Pradarshani hai tu aur tez kab hai chalti jhanki,
Virah mein baithi aatma ki laalsa ki kasm,
Bahega khoon kaano se bahot ye katl nazm,
Bas ye sacche ashiqon ko hi lage gulon si,
Baaki saare sool me bana ke dun dhool karke bhasm.
Hai Janam! Ye Bas Ek Hi
Din Ye Kam Karam Anek Hai,
Nigah To Mili Hai Sabko Hi
Par Ye Man Se Na Hai Dekhte,
Har ek ansh keemti hai rakhlo tum sambhal,
Kasai na main par ye vaani karti hai halaal,
Jawab banti ankhe mu ye jab bane sawaal,
Bol deta man me aata jo main na karu malaal,
(Hook)
Main panktiyo me karta hun ye saare gam banya
Gaanewala besharam ye dhun hai behaya,
Kala ko meri pahuchana hai mujhe charam pe,
Jalega dil suno ye geet kaafi garm sa.



Writer(s): Nuka


Spitfire - Paathshala
Album Paathshala
date de sortie
25-06-2019




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.