Zulfiqar Ali - Rukh-E-Mustafa Ko Dekha paroles de chanson

paroles de chanson Rukh-E-Mustafa Ko Dekha - Zulfiqar Ali



Rukh e Mustafa (salla Llahu 'alayhi wa
Sallam) ko dekha to diyon ne jalna seekha
Yeh karam hai Mustafa ka shab e gham ne dhalna seekha
Yeh zameen ruki hui thi yeh falak thama hua tha
Chale jab mere Muhammad (salla Llahu
'Alayhi wa sallam) to jahan ne chalna seekha
Kis ne zarron ko uthaya aur sahra kar diya
Kis ne qatron ko milaya ayr darya kar diya
Kis ki hiqmat ne yateemon ko kiya durre yateem
Aur ghulamon ko zamane bhar ka maula kar diya
Admiat ka gahraz saama muhayya kar diya
Ik arab ne aadmi ka bol bala kar diya
Chale jab mere Muhammad to jahan ne chalna seekha
Bara khush naseeb hoon main, meri khush naseebi dekho
Barri kam seeni se main ne hai yeh naat parhna seekha
Apni bakhshish apni bhalai ka samaan nikala hai
Main to nabi ke gun gata hoon jab se hosh sambhala hai
Bachpan mein pehle din se nabi ka liya tha naam
Us din se aaj tak mere munh mein mithaas hai
Barri kamseeni se main ne hai yeh naat parhna seekha
Main raha khalish muzaffar dar e paak e mustafa par
Mere jazb e aashiqi ne kahan ghar badalna seekha
Aa ke baitha to na uththa woh teri mehfil se
Phir kahin yaar tera chahne wala na gaya
Mere jazb e aashiqi ne kahan ghar badalna seekha




Zulfiqar Ali - Dar-e-Khairulwara - Islamic Naats
Album Dar-e-Khairulwara - Islamic Naats
date de sortie
01-01-2010




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.