Arvinder Singh - Paani Sharaab Mein I (Original) текст песни

Текст песни Paani Sharaab Mein I (Original) - Arvinder Singh



Mai sharabi hoon, Badi shaan se kehta hoon mai
Mai sharabi hoon, Badi shaan se kehta hu
Khake rab di kasam, Badi shaan se kehta hoon mai
Mai jo peete nahi, jeete nahi, mar jaate hain
Mai jo peete nahi, jeete nahi, mar jaate hain
Kya
Sab toh milake peete hain
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Pooja mein hai nasha
Pooja mein hai nasha
Ibadat mein hai nasha
Chahat mein hai nasha
Mohabbat mein hai nasha (2)
Imaan se kahoon toh mujhe mere doston
Sab se zyaada yaar ki sohbat mein hai nasha
Har shaam meri jaam se hoti hai dosti (2)
Peeta nahi sharab toh roti hai dosti
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein (2)
Theek hai behisaab peeta hoon (2)
Mera kasoor kya hai papihe se poochiye (2)
Toh piye ja raha hoon main
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Saaki pila pila ke pilane ki raat hai
Pi pi ke aaj hosh mein aane ki raat hai
Suna hai aaj pyaas bujhane ki raat hai
Suna hai aaj pyaas bujhane ki raat hai
Aarzooen sharab hoti hain
Roz tauba ko todta hoon mai
Roz neeyat kharab hoti hai
Roz neeyat kharab hoti hai
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Humne dekha hai shaam ka manzar
Aasmaa bhi sharab peeta hai
Kaun kehta hai main nahi chakhi
Kaun jhooti kasam khata hai
Mehkhade se jo bachke nikalta hai
Teri aankhon mein doob jaata hai
Teri aankhon mein doob jaata hai
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Jalwon mein hai sharab nazaaron mein hai sharab
Phoolon mein hai sharab baharon mein hai sharab
Rangon mein aaj rooj ke dharon mein hai sharab
Socho agar toh chaand sitaron mein hai sharab
Saanson mein agar mehek ho toh seene mein ho gulab
Sholon mein hai sharab sholon mein hai sharab
Shararon mein hai sharab
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Jannat ne merese poocha jo ek din
Bata wahaan jaake kya karenge
Toh saathi ne kaha
Kafan mein leja chupake botal
Toh maze se ghoonth ghoonth piya karenge
Ya rab banana tha ghatti sharab ki (2)
Aur insaan banake tune le di matti kharab ki
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Sharab peeke chala aaya hoon mehkhane se
Door hi rehna khuda ke vaaste deewane se
Humne pi pi ke ibadat ka maza loota hai
Woh maza milta nahi hosh mein aa jaane se
Shaikhji aap ko kal raat ke andhere mein (2)
Humne dekha hai nikalte sharab khane se
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Woh jo baithe hain woh nahi woh jo unke saath baithe hain (2)
Unme kuch khasiyat hi aise hai Unme kuch khasiyat hi aise hai
Varna mehfil mein unse bhi khare baithe hain
Husn aisa ke mausam ko gulabi karde
Jis taraf jaaye wahaan khana kharabi karde
Mere mehboob ki aankhon mein hai jaadoo aisa
Pyaar se dekhe toh duniya ko sharabi karde
Pyaar se dekhe toh duniya ko sharabi karde
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Ek haath mein botal hai
Ek haath mein botal hai
Ek haath mein pyaali hai (2)
Mehkhane se peene waloon ki baraat nikalne wali hai
Tu humko bulakar aisa ki, kyon baant raha hai gairon mein
Tu humko bulakar aisa ki, kyon baant raha hai gairon mein
Hum bhi toh tere shahdai hain
Kyon jaam humara khaali hai
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)
Sab toh milake peete hain Paani sharab mein
Mai pee gaya mila ke jawani sharab mein (2)



Авторы: Arvinder Singh, Gumraah Kainate


Arvinder Singh - Paani Sharaab Mein New Recordings
Альбом Paani Sharaab Mein New Recordings
дата релиза
01-12-1982




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.