Aziz Mian - Unki Ankho Mei текст песни

Текст песни Unki Ankho Mei - Aziz Mian



Maza
Maza Barsaat ka chaaho
Maza Barsaat ka chaaho
Meri aankhon mein aa betho
Sufaidi hau siyahi hy
Shafaq hai abr e baaran hy
Maza Barsaat ka chaaho
Meri ankhon mein aa betho
Wo baeson mein kahen barsen
Ye barson se barasti hain
Unki ankhon se masti barasti rahe
Unki ankhon se masti barasti rahe
Hosh udte rahein dor chalta rahe
Unki me pinnhaah ishq ka anjam hai
Unki ankhon ankhon se masti barasti rahe
Hosh udte rahen dor chalta rhe
Raqs e tauba karein jaam e dil or mein
Rind peete rahen shaykh jalta rhe
Hey ishq mein zindagi ka maza hai yehi
Ashiq e zaar pehlu badalta rahe
Yunhi gharhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
Mahenay wasl k ujjar jate hain ghariyon mein
Magar ghariyan judai ki guzrti hain maheno mein
Yunhi gharhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
Royen gy
Mian royen gy dekh kr wo
Bister ki har shikan ko
Wo baat likh chuka hun karwat badal badal kar
Yunhi garhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
Tarapte mjhy
Tarapte mjhy raat bhar hogai
Chale aao ab to sahar hogai
Yunhi gharhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
Bas ab chhupne ko hain taary
Agar aaty to aajaty
Agr wo darmiyan wale na behkaty to ajate
Yunhi gharhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
X2
Basar hoti hain unki aesh me raatein wo kiun ayen
Agr furqat k sanaton se ghabrate to ajate
Kaha jb mene unse wo kahan hain
Aapki qasam
To farmaya
Agr sachi qasam khaate to ajate
Yunhi gharhiyan shab e gham ki kat ti rahen
Yaad aaty raho dil behlta rahe
Zindagi hai hamari tumhara karam
Tere karam se meri salamat hai zindagi
Tera karam na ho to qayamat hai zindagi
Mein le k tumahara naam jiye jarha hoon mein
Sach puchiye to teri badaulat hai zindagi
Badal k rakh diya unwaan e zindagi mene
Pehn lia hai Libaas e Qalandari mene
Tum raho mehrbaan to nahi koi gham
Humse badlo na Tum, Tumse badlein na hum
Roz chahe zamana badalta rahe
Tum mere saamny aao to is tarah
Aashiq ko dekhte hain dopatte ko taan kr
Mian aashiq ko dekhte hain dopatte ko taan kr
Dete hain humko sharbat e deedar chhaan kar
Tum mere saamny aao to is tarah
Tera parda rahe, mujhko deedar ho
Aa ban ban k chilman me betha karen
Husn chhan chhan k bahar niklta rahe
Baad muddat k uthi hai kaali ghatta
Wo na ayengy kbhi dekh k kaaly badal
Do ghari k liye Allah hata le badal
Ay abr e karam zara thham k baras
Itna na baras k wo aa na saken
Jb ajaen to jamm k baras
Or itna baras k wo ja na saken
Ye kaali ghattaein ye kaafir hawaein
Chali ayin tanha unhe bhi to layen
Ghattaein jhoom kr ayin to hain
Sehn e gulistan par
Kahen pani na par jae
Tumhare ehd o paimaan par
Baad muddat k uthi hai kaali ghatta
Maikashon ko pila or peham pila
Maikada tera Saaqi salamat rahe
Aaj to jaam par jaam chalta rahe
Maikada tera Saaqi salamat rahe
Aaj to jaam par jaam chalta rahe.



Авторы: Traditional, Aziz Mian


Aziz Mian - Rare & Unheard – Sabri Brothers & Aziz Mian
Альбом Rare & Unheard – Sabri Brothers & Aziz Mian
дата релиза
26-07-2013




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.