K. J. Yesudas & Lata Mangeshkar - Aapki Mehki Huyi Zulf Ko (From "Trishul") текст песни

Текст песни Aapki Mehki Huyi Zulf Ko (From "Trishul") - K. J. Yesudas & Lata Mangeshkar



Tbspbsm rajkumar
★★★★★★★★★★
Y: aap ki mehki hui zulf ko kehte hain ghata
aap ki mehki hui zulf ko kehte hain ghata
aap ki madbhari aankhon ko kanval kehte hain
aap ki madbhari aankhon ko kanval kehte hain
L: main to kuchh bhi nahi tum ko haseen lagati hu
is ko chahat bhari nazaro ka amal kehte hain
is ko chahat bhari nazaro ka amal kehte hain
★★★★★★★★★★
Y: ek ham hi nahi, ek ham hi nahi sab dekhane vaale tum ko
sang-e-marmar pe, sang-e-marmar pe likhi shokh Gazal kehte hain
sang-e-marmar pe likhi shokh Gazal kehte hain
L: aisi baatein na karo, aisi baatein na karo jin ka yaqeen mushkil ho
aisi taarif ko, aisi taarif ko niyat ka Khalal kehte hain
aisi taarif ko niyat ka Khalal kehte hain
Y: aap ki madbhari aankhon ko kanval kehte hain
L: is ko chahat bhari nazaro ka amal kehte hain
★★★★★★★★★★
Y: meri taqadir ki tum ne mujhe apna samjha
L: meri taqadir ki tum ne mujhe apna samjha
Y/L: is ko sadiyo ki, is ko sadiyo ki tamannaao ka phal kehte hain
Y/L: is ko sadiyo ki tamannaao ka phal kehte hain
Y/L: is ko sadiyo ki tamannaao ka phal kehte hain
★★★★★★★★★★



Авторы: LUDHIANVI SAHIR, KHAIYYAAM, N/A KHAIYYAAM, SAHIR LUDHIANVI


K. J. Yesudas & Lata Mangeshkar - Selfie With K. J. Yesudas
Альбом Selfie With K. J. Yesudas
дата релиза
05-05-2014



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.