Mehdi Hassan - Ab Ke Hum Bichhre To текст песни

Текст песни Ab Ke Hum Bichhre To - Mehdi Hassan




Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain
Ab Ke Hum Bichre To Shayad...
TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun itne Hijabon Mein Milain?
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Ab Ke Hum Bichre To Shayad...
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain
Ab Ke Hum Bichre To Shayad...
Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai "Faraaz"
Jaise Do Saaye Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Ab Ke Hum Bichre To Shayad...



Авторы: Ahmed Faraz, A. Hameed


Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.