Mohammed Rafi - Meri Mohabbat Pak Mohabbat текст песни

Текст песни Meri Mohabbat Pak Mohabbat - Mohammed Rafi



Jaane kyon beimaan hai
Mera hi aaina
Mujhe pehchaane na
Kyon lage aaj khud se yeh pehli mulaqaat hai
Chamkeela suraj toh hai utha
Phir bhi in aankhon mein ghoome
Kyon gehri raat hai
Kaisi hai yeh roshni
Jo mujh tak aaye na
Haath badhaaye na
Nazrein milaaye na
Raat bujhaaye na
Kyon har chehre pe lagey pehre
Yeh zameen deewaaron ke bina thi bani
Khud se khafa hai sara jahan
Naraaz hai, naraaz hai
Mann ke gehre se kamron mein dhoonda
Toh miley bhoole se darwaaze
O... Khola toh dahleez pe khadi thi
Subah ki kirnein o...
Dhul gayi beh gayi sari siyahi
Ghuli hain muskaanein
Udaa man hawaa ban
Pehchaane na sarhadein
Hai saanjha sa noor yeh
Saanjhi yeh rehmatein
Hum juda toh na thhe
Wohi ghamon se hai
Wohi khushi se hai dosti
Ek si hai zindagi
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Mitti se sab baney
Wohi rooh toh hai bhari
Yaara ham-watan ya ham-mazhab
Ya ham-zabaan hum na sahi
Yaara iss zameen pe hi ho jannat
Yeh toh chaahein hum sabhi
Aa haath mila...
Yaara hum nahin ajnabi
Ajnabi toh hum nahin
Yaara, yaara
Dhadke seene mein
Yeh dil toh hai wohi
Yaara hum nahin



Авторы: Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat


Mohammed Rafi - April Fool (Original Motion Picture Soundtrack)
Альбом April Fool (Original Motion Picture Soundtrack)
дата релиза
01-12-1964




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.