Nusrat Fateh Ali Khan - Aisa Banna Sanwarna Mubarak текст песни

Текст песни Aisa Banna Sanwarna Mubarak - Nusrat Fateh Ali Khan



Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Aisa Banna Sawarna, Un Ka Banna Sawarna
Woh Kia Sawar Ga′ay Meri Qismat Sawar Gayi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Woh Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga′ay Hoon Gay
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo
Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa′ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo
Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay, Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay, Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Andaaz Apne Daikhte Hein Aa′ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh Guzdeeda Nazar Say
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-KhamShuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao Rasta Lo... Tumhara Kuch Nahi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja′ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo
Kaam Aa′ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo
Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo...



Авторы: Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan


Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
Альбом Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
дата релиза
16-01-2007




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.