Nusrat Fateh Ali Khan - Is Karam Ka Shukar (Naat) текст песни

Текст песни Is Karam Ka Shukar (Naat) - Nusrat Fateh Ali Khan



Bebandagi Urooj Kia, Banda Ker Dia
Tara Mere Naseeb Ka Tabinda Ker Dia
Kitni Bari Huzoor Ki Banda Nawazian
Mujh Ko Mere Sawaal Ne Sharminda Ker Dia
Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Dia
Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein
Mujh Ko Her Gham Se Rub Ne Bari Ker Dia
Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada
Gham E Aashqi Se Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Mohabbat E Mustafa Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch
Nahi Tha
Karam Ki Is Intiha Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch
Nahi Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Tere Karam Ka Tassaduq Teri Ata Ke Nisaar
Mein Kia Tha Aur Mujhe Kia Bana Dia Tu Ne
Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha
Gham E Aashqi Se Pehle Mujhay Kaun Janta Tha
Teri Zaat Ne Bana Di Meri Zindagi Fasana
Mein Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon
Ata Kia Mujh Ko Dard E Ulfat
Mein Is Karam Ke Kahan Tha Qaabil
Huzoor Ki Banda Parwari Hai
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam
Ka Karoon
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon...
Bun Gayi Baat Unka Karam Ho Gaya
Shaakh E Nasal E Tamanna Hari Ho Gayi
Mere Lub Pe Mohammad Ka Naam Aa Gaya
Baithe Baithe Meri Haazri Ho Gayi
Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam
Ka Karoon
Khaliq Ne Mujh Ko Meri Talab Se Sila Dia
Sarmaya Dar E Ishq E Mohammad Bana Dia Shukr Kaise Ada Is
Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon
Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Dia
Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein
Mujh Ko Her Gham Se Rub Ne Bari Ker Dia
Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein
Jab Lia Naam E Nabi Mein Ne Dua Se Pehle
Ho Gayi Mujh Pe Ata Meri Khata Se Pehle
Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein, Zikr E Sirkaar Ki
Hein Bari Barkatein
Mohammad Mustafa Ka Naam Bhi Kia Ism E Aazam Hai
Jahaan Koi Na Kaam Aaye Wahaan Ye Kaam Aata Hai
Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein, Zikr E Sirkaar Ki
Hein Bari Barkatein
Mil Gayeen Raahatein, Azmatein, Rufatein
Mein Gunaahgaar Tha Beamal Tha Magar
Mustafa Ne Mujhe Jannati Ker Dia
Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh
Per Nabi Ki Ata
Qamli Wale K Qalam Ki Baat Hai
Warna Mujh Bande Kia Kia Auqaat Hai
Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh
Per Nabi Ki Ata
Jitna Dia Sirkaar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqaat Nahi Hai
Yeh To Karam Hai Un Ka Warna Mujh Mein To Koi Baat Nahi Hai
Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata
Doston Mein Aur Mangoon Maula Se Kia
Kia Yeh Kam Hai K Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mehboob Ka Ummati Ker Dia
Gale Mein Shah E Bad Aaqa?
Bhala Yeh Kam Hai Nishaan Mujh Se Benishaan K Liyeh
Apni Qismat Pe Kiyoon Na Naaz Karoon
Loag Kehte Hein Shah E Badha Mujh Ko Kia Yeh Kam Hai Bhala,
Kia Yeh Kam Hai Bhala
Mujhe Mil Gayi Dono Alam Ki Shahi
Mera Un K Mangtoon Mein Naam Aa Gaya Hai Kia Yeh Kam Hai
Bhala, Kia Yeh Kam Hai Bhala
Manam Adna Sana Khuwan E Mohammad
Ghulam E Az Ghulaman E Mohammad Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia
Yeh Kam Hai Bhala
Bus Inko Safa Kasht Bechara Janoon
Ghulam E Ghulaman E Aal E Mohamad Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia
Yeh Kam Hai Bhala
Kia Yeh Kam Hai K Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mehboob Ka Ummati Ker Dia
Jo Dar E Mustafa K Gada Ho Gaye
Daikhte Daikhte Kia Se Kia Ho Gaye
Aise Chasm E Karam Ki Hein Sirkaar Ne
Dono Aalam Ne Un Ko Ghani Ker Dia
Koi Mayoos Lauta Na Dirbaar Se
Jo Bhi Manga Mila Mere Sirkar Se
Saqde Jaoon Niyaazena Lajpaal Ke
Her Gada Ko Sakhi Ne Sakhi Ker Dia
Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pay Mere Nabi Ker Dia.




Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-E-Qawwal, Pt. 8
Альбом Best of Shahenshah-E-Qawwal, Pt. 8
дата релиза
03-08-2011




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.