Swanand Kirkire - Dhuan Dhuan (From Bhopal - A Prayer For Rain) Lyrics

Lyrics Dhuan Dhuan (From Bhopal - A Prayer For Rain) - Swanand Kirkire



Dhuan dhuan dhund me khoi chandaniya lori sunau mai kya
Nam aankho me doobi sapaniya lori sunau mai kya
Lori sunau mai kya, raat bujhau mai kya, neend bulau mai kya
Dhuan dhuan dhund me khoi chandaniya lori sunau mai kya
Nam aankho me doobi sapaniya lori sunau mai kya
Maile maile baadal ki chadar me
Chand soya toh jaaga nhi
Soone soone ambar ne bhi hadd ki
Thoda aasha ka taara nhi
Dil ka dil se yaha koi naata nhi
Dard hota toh hai aansu aata nhi aansu aata nhi
Pathreele takkiye pe soti re duniya lori sunau mai kya
Saans zehar me piroti re duniya lori sunau mai kya
Lori sunau mai kya, raat bujhau mai kya, neend bulau mai kya
Dhuan dhuan dhund me khoi chandaniya lori sunau mai kya
Nam aankho me doobi sapaniya
Lori sunau mai kya...



Writer(s): 0


Swanand Kirkire - Dhuan Dhuan (From Bhopal - A Prayer For Rain)
Album Dhuan Dhuan (From Bhopal - A Prayer For Rain)
date of release
09-12-2014




Attention! Feel free to leave feedback.