Amitabh Bachchan feat. Kishore Kumar - Jahan Mil Jayen Chaar Yaar Lyrics

Lyrics Jahan Mil Jayen Chaar Yaar - Kishore Kumar , Amitabh Bachchan



Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar
Mehfil Rangeen Jame Dhoom Mache Daur Chale
Mast Mast Nazar Dekhe Naye Chamatkar
Jahan Chaar Yaar...
One O Clock In My House
There Was A Cat There Was A Mouse
Khel Rahe The Danda Gilli
Chooha Aage Peechhe Billi
Choohe Ko Pad Gaye Jaan Ke Laale
Bola Mujhko Koi Bachale
Mere Paas Tha Bhara Gilass
Pee Gaya Chooha Saari Whisky
Kadak Ke Bola Kahan Hai Billi
Dum Dabake Billi Bhaagi
Choohe Ki Phuti Kismat Jaagi
Khel Risky Tha Whisky Ne Kiya Beda Paar
Mehfil Rangeen Jame...
Ek Tha Husband Ik Thi Wife
Miserable Thi Unki Life
Drunkard Husband Fighter Wife
Roz Ke Jhagde Roz Ke Lafde
Lafde Jhagde, Jhagde Lafde
Biwi Ki Thi Ek Saheli
Usne Usko Kuchh Samjhaya
Tab Biwi Ki Samajh Mein Aaya
Raat Ko Husband Peekar Aaya
Darwaze Pe Phir Chillaaya
Us Din Biwi Ban Gayi Bholi
Kundi Kholi Haske Boli
Janeman Zara Andar To Aao
Pehle To Kuch Khao Vaao
Phir Bistar Pe Hongi Baatein
Bade Pyaar Se Katengi Raatein
Husband Chauka, Yeh Bhule Se Maein Kiske Ghar Aa Gaya Yaar
Meri Biwi Mujhe De Nahin Sakti, Kabhi Itna Pyaar
Husband Bistar Chhodh Ke Bhaaga
Kundi Taala Todh Ke Bhaaga
Bola Devi Mujhe Maaf Kijiye
Mere Saath Zara Insaaf Kijiya
Mujhko Apne Ghar Jaana Hai
Warna Biwi Phir Maregi
Tab Biwiki Samajh Mein Aaya
Peena Chhoot Gaya Biwine Itna Diya Pyaar
Phir Dono Aise Mile Pyaar Mein Hi Doob Gaye
Pyar Agar Mile To Har Nasha Hai Bekaar
Jahan Chaar Yaar



Writer(s): BAPPI LAHIRI, ANJAAN, MEHRA PRAKASH


Amitabh Bachchan feat. Kishore Kumar - Sharaabi (Original Motion Picture Soundtrack)
Album Sharaabi (Original Motion Picture Soundtrack)
date of release
01-12-1984



Attention! Feel free to leave feedback.