Anuradha Paudwal Kavita Paudwal - Shree Mahakali Amritwani Lyrics

Lyrics Shree Mahakali Amritwani - Anuradha Paudwal , Kavita Paudwal



Sok vinaasak bhayhaari,
Mahakaali ka jaap...
JIsse janmon ke mit te,
Pal mein dukh santaap...
Deen vatsala maha devi,
Vishv ki paalnhaar...
Sachche saadhak ki naiiya,
Bhav se karti paar...
Siddh yogini jayanti,
Siddh kare sab kaaj...
Suddh bhaav se jo bhaje,
Unki raakhe laaj...
Brahmma vishnu mahesh bhi,
Dwaar khade dar jod...
Waise hi jag naachta,
Jaise hilati dor...
Jai mahakaali maa... 2
Aadi anaadi jad chetan,
Isi ki maya roop...
Teeno lok sambhaalti,
Iski kalaa anup...
Kaali ke maa mund maalini,
Khadag liyo re haath...
Charan saran mein jo aaye,
Sarvadaa unke saath...
Shyaam varan bhavtaarini,
Ka jo bhajan kare...
Sankat harni maa se wo,
Mann ichchit var le...
Nav grah baarah raashiyan,
Kaali maa ke adheen...
Aise ist ke dhyaan mein,
Sadaa hi rahiye leen...
Jai mahakaali maa... 2
Nar mund mala se sajaa,
Divya lokik vesh...
Kaali ghataa ganghor se,
Ati manohar kesh...
Sukh saagar bhaya mochini,
Ratiyega din raat...
Din heen praadhin ki,
Ye hi to sunati baat...
Vighna haran mangal karan,
Chand mund damni maa...
Dharti gagan paataal mein,
Aiso or kahaan...
Kuber bhi dhan ke kos ki,
Chabi seese le...
Seerjan haar vidhata bhi,
Iska manan kare...
Jai mahakaali maa... 2
Kaali naam sanjivani,
Karun sevan din rein...
Kast sabhi har jaaenge,
Paa jaoge chain...
Apram paar anant hai,
Dust bhaksini naam...
Mann se sadaa alaapiye,
Purn ho sabke kaam...
Daitye naasini kaalike,
Sarv guno ki khaan...
Chitt se chintan jo kare,
Unka ho kalyaan...
Praanheen ko praan de,
Thaali kos bhare...
Gunge patthar bolte,
Jab ye najar kare...
Jai mahakaali maa... 2
Kaali ka jo dhyaan lagaake,
Mrityu par bhi vijayi wo paate,
Tu bhi jo iske bhakti ras mein,
Siddhiyan hoti unke vas mein...
Kisi bhi path pe wo na bhatke,
Kisi ke naino mein na khatke,
Unhe na chinta kabhi sataati,
Manjil unke paas hai aati...
Iska jo hai aasraya lete,
Sraddha ki puspaanjali dete,
Unki karti hai rakhwaali,
Rakshina kaali khapper waali...
Charan kamal se jude hi rahiye,
Mun se chahe kuch na kahiye,
Antar bhaav wo sabke jaane,
Khota kharaa wo pehchaane...
Sarv vyaapak ghat ghat vaasi,
Ajir amar maa hai avinaasi,
Uska tum aakaar na dhundo,
Apram paar ka paar na dhundo...
Jo maa tumri mann ke andar,
Wo hi hai kan kan ke andar,
Antar mann ki aankhein kholo,
Rom rom mein use titolo...
Taaro se jab taar hai milti,
Jag ki kevan haar hai milti,
Nisthaa se tum use pukaaro,
Idhar udhar na chakkar maaro...
Drid karo sankalp shakti,
Us par rakho tum aa shakti,
Kaali haregi kast tumhare,
Paap bhi honge nast tumhare...
Sanka or sandeh ko chodo,
Manbal ki na kadiyaan todo,
Har sankat se mukti degi,
Bhav karne ki yukti degi...
Braham mein lipt kabhi na hona,
Jag janani ka pyaar na khona,
Uska har ek nirnaye maano,
Uski mouj ko tum pehchano...
Aadi shakti kapaalini,
Par jo kare viswaas,
Ujjawal hota bhavisya hai,
Puran ho har aas...
Nischaya vriksh seenchte rahiye,
Bhakti ka rath khinchte rahiye,
Kya jivan sangraam se darna,
Saanchi lagan se archan karna...
Maha dyaalu saama kaali,
Karam ka nek badalne waali,
Pralaya roop ye jab dikhlaati,
Dust bhaav ko dur bhagaati...
Jiski dristi mein hai sristi,
Bhakto pe hai karuna dristi,
Jeevan daayini siddhi hai ye,
Dekhi jag prasiddhi hai ye...
Ye maa divya loukik jyoti,
Bin maange jo deti moti,
Jis grah iska pooja vandan,
Wahaan ki dhuli bhi hai chandan...
Gaagar mein hi saagar bharti,
Ghadi mein vis ko amrit karti,
Bhaavna se prasann hai hoti,
Udar bharan ko bhojan deti...
Rogi jukti daridri saare,
Jab bhi chukke iske dwaare,
Kundan hoti unki kaaya,
Leela rachaati hai mahamaaya...
Chamunde jab bhav bhaya harti,
Sarv vijay pradaan hai karti,
Aanch na phir ye aane deti,
Maat kahin na kaaley deti...
Bhagyaheen ke bhaagy jagaati,
Mahamaari se sadaa bachati,
Mann kodeti shaanti ye maa,
Bhalaa hi karna jaanti ye maa...
Rakt beej ko jab sanghaara,
Harsaaya brahmmand ka saara,
Bhakt jano ki rakshak hai ye,
Daanav dal ki bhakshak hai ye...
Kalp vriks ki sabhi lataayein,
Mahakaali ki hai kalaayein,
Mann malinta ko jab tyaage,
Bhraanti ki wo neend se jaage...
Jab rudraani ka wo darsan,
Bhali bhut ho jaata chintan,
Saadhav ke apraad visaare,
Deti sukh saadhan saare...




Anuradha Paudwal Kavita Paudwal - Shree Mahakali Amritwani (Original Motion Picture Soundtrack)




Attention! Feel free to leave feedback.