Aziz Nazan - Maa Tera Pyar Lyrics

Lyrics Maa Tera Pyar - Aziz Nazan



KHUDA KE BAAD AGAR INSAAN KO SAJDAA RAWAA HOTA
YAKEENAN SAB SE PEHLE MAA KO YEH RUTBA MILA HOTA
(Pyar lafzon main)2 bataya to bataya na gaya
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Doodh ke roop main khoon apna pilaaya toone
Dukh main bhi jaag ke seene pe sulaaya toone
Kaunsa gham hai jo hans kar na uthaya toone
Aur bhooleeee se bhi ehsaan na jataayaa toone
Tera ehsaan ginaayaa to ginaayaa na gayaaa
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Jo bhi mumkin hai usse bhi sivaaa deti hai
Jaan tak apni mohabbat main luta deti hai
Naza ke waqt bhi bachon ko sadaa deti hai
Zulm aulaad ka seh kar bhi duaaa deti hai
Teri manzil pe farishton se bhi aaya na gaya
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Teri ek ek naseehat ko tarastaa hoon main
Teri aawaz ki lazzat ko tarasta hoon main
Tere iqlaas ko Ulfat ko tarastaa hoon main
Yaad aati hai to Surat ko tarasta hoon main
Bin tere koi mere dil main samaya na gaya
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Mujhko jis din se muyassar teri qurbat na rahi
Aisa lagta hai ke duniya main mohabbat na rahi
Hausla haar gaya dil main woh himmat na rahi
Ab to aye MAA, aye maa, aye maa,aye maa, aye maa
Ab to aye MAA tere milne ki bhi surat na rahi
Maine yeh gham bhi chupaya to chupaya na gaya
Maa tera pyaar bhulaaya to bhulaaya na gaya
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar
Maa tera pyaar Maa tera pyaar Maa tera pyaar



Writer(s): Aziz Nazan, Late Aawara Sultanpuri


Aziz Nazan - Main Nashe Mein Hoon
Album Main Nashe Mein Hoon
date of release
26-04-1992




Attention! Feel free to leave feedback.