Jokhay feat. Nabeel Akbar & Talha Anjum - Jazbaat 2 Lyrics

Lyrics Jazbaat 2 - Talha Anjum , Nabeel Akbar , Jokhay



Nazaron mein tw sabki par aata nhi nazar,
Mehnat ki dil se chori na koi kasar,
Sab kuch gawaa dia or kitna sabar,
Nhi hota mehsoos nai hota kuch asar,
Musafir hu dunya mein karta bus safar,
Haathon se apnay khud khod raha qabar,
Karte sab qadar khojaanay k baad,
Zindagi mukhtasar mile ek hee baar,
Palat k nhi aatay moqay lagataar,
Sab moqay kho deta Parwardigaar,
Hu gunahgaar apni ghalti tasleem karta,
Jeena dushvaar, par Tjhpar yaqeen karta,
Bus ik funkaar, dil ki tafseer karta,
Gaya thak haar, par ab tk umeed rakhta,
Achay dino ki, mehnat k silon ki,
Umeedein judi mjhse kaafiyon ki,
Deewar hasraton ki, lachar muddatton ki,
Sar pe sawaar horahi sarfaroshi,
Kesi madhoshi, ye kesi khamoshi,
Kiun jeeta ye zindagi mujrimo si,
Kiun jeeta ye zindagi dil jalon si,
Lar chuka boht, ab mar chuka khof,
Raazi hun Maalik ab teri Raza mein,
Likhi ho chaahay phir manzil ya maut
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
Aisa kuch falsafa mila sab se
Jeene ko kuchalne hai khwaab apne
Maazi mei band qaid duniya hai meri
Aur mein nikal parha hu qismat se larhne
Roz mein sochta kya chhorhdu yeh sub kuch
Haar dun khud ko taake log mere sub khush
Ya hojaaun khud kush aur khud ko mein maardu
Par apne fun ko kaise mein zinda gaarhdu
Na koi hai aarzu no den kisi ko dagha
Par jaib mei na ho taka, to koi kaise mera sagha?
Zindagi Jung hai ya zindagi yeh sazaa
Mehnat ki khaatay na koi chhota na koi bara
Kesa ye marz meri koi dawa nahi,
Par bina is dard ke jeene ka maza nahi,
Kam horaha qarz par dhal rahi jawani,
Khaya mei tars khud pe kabhi zara nahi,
Ab jo hona hone do,
Kia bacha khone ko,
Kia faida rone ko,
Raat k kuch ponay do,
Karwatain leraha taras raha mein sone ko
Khuli aankh se dekhta khuaab, hu mei paranoid
Phir log mujhe kaatne ko bethe
Gine chune log dard baatne ko bethe
Gham jaanchne ko bethay
Jokhay you're not focused, sb daantne ko bethe
Kabhi na mile phir bhi naam mera lete,
Na jaante na maante par yaar bane bethe,
Dete thay saath nahi par aaj dekho kaise,
Mehnat mein meri hissedaar bane bethe,
Daavedaar bane bethe,
Kaamiyaabi ki ye meray zimmedaar bane bethe,
Inquilaabu hu mei jaise, peeche saath chalain mere,
Qurbaani deta mei aur yeh bus saamp bane bethe
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
3: Talha Anjum
2020, mujhay rap bore karay rap pe uboor mera,
Ye gaanay addictive aur phenku back to back tou tootay na suroor mera,
Aja baat karein zindagi ki, yu'n he agar milay gi zindagi ke mor par,
Mere chaaro taraf gandagi thi,
Tullay khaatay rishwat, paidagiri road par,
Mein 17 mein bigra mein 23 sambhlaa mein 16 ka famous,
Maara maari aur jhagra,
Aur laanjo ne jakra par likhaari
Tagra, mein likh likh nai thakk raha,
Rehta hu jangi haalat mein, ready for war ye qalam ki maar hai,
Aadhay rappers inspired hain mere se,
Aur jo nai hain wo mujhse bezaar hain,
The guy who sang marijuana,
Mere saath chikkay marijuana, over time, out of city hota ana jaana,
Real talk tumhein mushkil hai samajh ana
And the guy who sang jo tu na mila,
Usay face to face tu kabhi na mila,
Ye larkay sab hustle pe chaltay hain, in larko ko apne se na milaa,
Famous tabhi low key,
Tujhay koi report nai mein kis se kab kahan mila,
Hum video banatay he nai hain, kis mu se kaho ge shakal pe kaam mila?
Tujhse bara network tujhse zyada net worth mein nai banta rapstar
Kabhi internet par, laya rap map par,
Lekin mein nai rap god, agar mein nai rap god, Abay tou phir tu kaun?
Mein ghar tha Urdu rap ka, mujhay maloom hai kaun yahan mehmaan,
Mujhse beef karlo do hazaar bees mein koi,
I'll smack that bitch like I'm Akon,
Jaikant shikray mein is game ka
Leke bethay mandate kaafi der ka,
Tu aaj aya kal gaya hum rahein der paa,
Tu raakh hua jall gaya bujh ke andher tha
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain




Jokhay feat. Nabeel Akbar & Talha Anjum - Jazbaat 2
Album Jazbaat 2
date of release
05-04-2020



Attention! Feel free to leave feedback.