Lata Mangeshkar - Jane Kyon Log Mohabbat Kiya - Version 1 Lyrics

Lyrics Jane Kyon Log Mohabbat Kiya - Version 1 - Lata Mangeshkar



Is zamaane mein is mohabbat ne
Kithne dil tode, kithne ghar phunke
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain
Dil ke badle dard-a/e-dil liya karte hain
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain
Tanhai miltee hai, mehafil nahin miltee
Raah-a/e-mohabbat mein kabhi manzil nahin miltee
Dil tut jaataa hai, naakaam hota hai
Ulfat mein logon ka yahi anjaam hota hai
Koyi kya jaane, kyun ye paravaane
Yoon machalate hain, gam mein jalte hain
Aahen bhar-bhar ke deewaane jiyaa karte hain
Aahen bhar-bhar ke deewaane jiyaa karte hain
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain
Saavan mein aankhon ko kithna rulaati hai
Furqat mein jab dil ko kisi kee yaad aatee hai
Ye zindagi yoon hee barbaad hotee hai
Har vaqt honton pe koyi fariyaad hotee hai
Naa dawaaon ka naam chalta hai
Naa duaon se kaam chalta hai
Zahar ye phir bhee sabhee kyun piya karte hain?
Zahar ye phir bhee sabhee kyun piya karte hain?
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain
Mehboob se har gam mansoob hota hai
Din-raat ulfat mein tamaasha koob hota hai
Raaton se bhee lambe ye pyaar ke qisse
Ashiq sunaate hain jafaa-a/e-yaar ke qisse
Be-muravvat hai, bewafa hai vo
Us sitamagar ka, apanae dilbar ka
Naam le-le ke duhaee diya karte hain
Naam le-le ke duhaee diya karte hain
Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain




Lata Mangeshkar - Mehboob Ki Mehndi (Original Motion Picture Soundtrack)




Attention! Feel free to leave feedback.