Mohammed Rafi - Mere Pairon Mein Ghunghroo Lyrics

Lyrics Mere Pairon Mein Ghunghroo - Mohammed Rafi



Dil paayaa albela maine
Tabiyat meri rangiili, haay
Aaj kushi mein maine bhaiya
Thodee see bhang pee lee
Haay, mere pairon mein, haay
Mere pairon mein ghungroo bandhaa de
To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghungroo bandhaa de
To phir meri chaal dekh le
(zaraa jam ke bhaiya..., haan)
Mohe laali chunar, mohe laali chunariya odha de
To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghungroo bandhaa de
To phir meri chaal dekh le
Kya chaal hai tori
Zaraa jhoom le gori
Aah ha, vaah
Haule dole kisi kee nathuni, jhume kisi ka jhumkaa
Har pari dil thaam le apana, aisa lagaaoon thoomkaa
Kaise bhalaa? aise
Jab ho kisi kee byaah-sagaai
Meri javanee le angadaai
Meri javanee le angadaai
Koyi meri, haay-haay
Koyi meri bhee shaadi kara de
To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghungroo bandhaa de
To phir meri chaal dekh le
Koyi ghunghat waali mere dil pe chalaae chhuriyaan
Koyi nainon waali chhude nainon se phuljhadiyaan
Rup hai lakhon aur ek dil hai
Aape mein rahana bhee mushkil hai
Aape mein rahana bhee mushkil hai
Koyi ankhiyon, haay-haay
Koyi ankhiyon se daaroo pilaa de
To phir meri chaal dekh le
Zaraa nain milaa ke
Zaraa dil lagaa ke
Ek nazar se dil bharamaae, doojee se le jae
Tiji nazar too aisee maare, jo dekhe lut jae
Saaree duniyaa tujpe deewaanii
Main bhee to dekhoon teri javanee
Main bhee to dekhoon teri javanee
Zaraa mukhde, hoy-hoy
Zaraa mukhde se ghungata hataa de
To phir meri chaal dekh le
Mohe laali chunar, mohe laali chunariya odha de
To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghungroo bandhaa de
To phir meri chaal dekh le



Writer(s): Shakeel Badayuni, Naushad


Mohammed Rafi - Sanghursh (Original Motion Picture Soundtrack)
Album Sanghursh (Original Motion Picture Soundtrack)
date of release
01-01-1968




Attention! Feel free to leave feedback.