Mohammed Rafi - Taarif Karun Kya Uski Lyrics

Lyrics Taarif Karun Kya Uski - Mohammed Rafi



Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Ik cheez qayamat bhi hai
Logon se suna karte the
Tumhe dekh ke maine mana
Woh theek kaha karte the
Hai chaal mein teri zaalim
Kuch aisi bala ka jaadu
Sau baar sambhala dilko
Par ho ke raha bekabu
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Har subah kiran ki lali
Hai rang tere gaalo ka
Har shaam ki chadar kali
Saaya hai tere balo ka
Tu balkhati ek nadiya
Har mauj teri angdaayee
Jo in maujo mein dooba
Usne hi yeh duniya payi
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Main khoj mein hoon manzil ki
Aur manzil paas hai meri
Mukhde se hata do anchal
Ho jaye door andhere
Mana ke ye jalwe tere
Kar denge mujhe deewana
Jee bhar ke zara mein dekhun
Andaz tera mastana
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
-- Contributed by jskforyou
-- March 15, 2004



Writer(s): Onkar Prasad Nayyar, S H Bihari


Mohammed Rafi - Rough Guide To Bollywood Legends: Mohd. Rafi
Album Rough Guide To Bollywood Legends: Mohd. Rafi
date of release
17-04-2007




Attention! Feel free to leave feedback.