Nusrat Fateh Ali Khan - Aisa Banana Sanwarna Mubarak Tumhein Lyrics

Lyrics Aisa Banana Sanwarna Mubarak Tumhein - Nusrat Fateh Ali Khan



Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Aisa Banna Sawarna, Un Ka Banna Sawarna
Woh Kia Sawar Ga′ay Meri Qismat Sawar Gayi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Woh Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga′ay Hoon Gay
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Nusrat Fateh Ali Khan
Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo
Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa′ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo
Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay, Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay, Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Andaaz Apne Daikhte Hein Aa′ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh Guzdeeda Nazar Say
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-KhamShuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao Rasta Lo... Tumhara Kuch Nahi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja′ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo
Kaam Aa′ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo
Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo...



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan


Nusrat Fateh Ali Khan - Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits
Album Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits
date of release
25-03-2014

1 Bewafa Se Bhi Pyar Hota Hai
2 Dil Pe Zakham Khaate Hain
3 Aisa Banana Sanwarna Mubarak Tumhein
4 Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi
5 Aag Daman Mein Lag Jayegi
6 Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai
7 Gham Hai Ya Khushi Hai Tu
8 Dil Sulagta Raha Chandni Raat Mein
9 Woh Hata Rahe Hain Parda
10 Aaj Koi Baat Ho Gayi
11 Dayareishq Mein
12 Mast Nazron Se Allah Bachaye
13 Haqeeqat Ka Agar Afsana Ban Jaye
14 Ab Dekh Ke Jee Ghabrata Hai
15 Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
16 Saanson Ki Mala Pe Simrun Main
17 Hai Kahan Ka Irada Tumhara Sanam
18 Dil Jis Se Zinda Hai
19 Khanjar Hain Teri Aankhein
20 Shaam Savere Nain Bichha Ke
21 Band Hua Saara Maikhana
22 Doston Ki Shikayat
23 Jaag Uthe Hain Dard Purane
24 Ghameyaar Se Shikayat
25 Aarzooemohabbat Hai
26 Main Talkhiye Hayaat Se
27 Tu Agar Benaqaab Ho Jaaye
28 Bahaar Ke Din Hain
29 Maikada Bhi Apna Hai
30 Mere Saaqi Yeh Tamasha
31 Mulaqaat Ho Gayi
32 Saadgi to Hamari Zara Dekhiye
33 Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Darr Se
34 Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka
35 Pilao Saaqi
36 Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai
37 Mera Intezaar Karna
38 Raah Aasaan Ho Gayi Hogi
39 Na Sawaal Ban Ke Mila Karo
40 Mujhe Tum Yaad Aate Ho
41 Kehna Ghalat Ghalat
42 Nargisi Ankh Dorey Gulabi
43 Un Ke Dar Pe Pahunchne
44 Tum ek gorakh dhandha ho
45 Is Karam Ka Karun Shukar Kaise
46 Zehaale Miskeen Makun Taghaful
47 Eid-gahay mahay gareeba
48 Ya Haiyyo Ta Qayyum
49 Dum Mast Qalander Mast Mast
50 Allah Hoo




Attention! Feel free to leave feedback.