Nusrat Fateh Ali Khan - Ghaus Ul Azam Sha-e-Jilani Lyrics

Lyrics Ghaus Ul Azam Sha-e-Jilani - Nusrat Fateh Ali Khan




Ya Ghous Al Azam Aapke Daman Laga hoon main,
Kuch gham nahi hai mujhko agar naarasa hoon main,
Be-heela be-waseela hoon betaab o natawaan
Imdaad tum karoge meri jaanta hoon main,
Ghaus ul Azam Shah e Jeelan
Manjhdaar mein nayiya hai
Sadka Moula Ali Ya Ghous
Meri laaj nibha jaao,
Tu lajpaal te main laj teri
Lagiyaan di lajj paalin ve meera,
Meri laaj nibha jaao,
Main neevan mera Meera uncha
Uncheyan de sang laayi
Sadke jaan ehna uncheyan ton
Jehna neeveyan naal nibhaayi,
Meri laaj nibha jaao,
Barbaad mujhe karde
Toofan ka iraada hai
Kashti meri jo torry to
Har mauj amaada hai,
Majboor bahut hoon main
Aise mein tum aa jaao
Sadka Maula Ali Ya Ghous
Meri laaj nibha jaao,
Meeran main bhi reham ke kaabil hoon
Dukh dard ka maara hoon
Fariyaad suno imdaad karo
Aakhir main tumhaara hoon,
Karo nazar e karam meera
Mere kaam bana jaao
Sadka maula ali aao
Meri laaj nibha jaao,
Duniya mein bata dijye
Aur kaun hamaara hai
Ab raah e khuda sunn lijye sada
Maine tumko pukaara hai,
Hasnain ke Jaani ho
Meri bigdi bana jaao
Sadka Moula Ali Ya Ghous
Meri laaj nibha jaao,
Khaaki pe Shah e Jeelan
Rehmat ki nazar kar do
Saans rukne laga aaya waqt e niza
Meeran ko khabar kar do,
Bakhshish meri ho jaaye
Soorat to dikha jaao
Sadka Moula Ali Ya Ghous
Meri laaj nibha jaao,
Ghaus ul Azam Shah e Jeelan
Majhdaar mein nayiya hai
Sadka Moula Ali Ya Ghous
Meri laaj nibha jaao,



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan


Attention! Feel free to leave feedback.
//}