Nusrat Fateh Ali Khan - Na Pehle Tha Koi Lyrics

Lyrics Na Pehle Tha Koi - Nusrat Fateh Ali Khan



Kul ambiya se afzal aalin makaam hain woh
Allah bhejta hai jispar salaam hain woh
Aksaame ki imaamat saare payambaron ki
Saare payambaron ko beshak imaam hain woh
Nabi sayyid ul ambiya ke baraabar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Muhammad ka saani muhammad ka hamsar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Rasool aur bhi aaye jahaan par lekin unsa
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Taaha o yaseen muzammil
Markaz e kul aur husn e mukammil
Norr e mubeen hain haq ke kareen hain
Farsh makeen hain arsh nasheen hain
Noor e munawwar awwal o aakhir
Roshan roshan baatin zaahir
Rasool e mujtaba kahiye
Muhammad mustafa kahiye
Khuda ke baad bas woh hain
Phir iske baad kya kahiye
Muhammad ka saani muhammad ka hamsar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Agar hai toh ik allah ki hai
Jo zaat e muhammad se aala hai warna
Muhammad se aala muhammad se badhkar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Jise haq ne bulwaaya arsh e ulah par
Hua fazl e haq se jo mehmaan e daawar
Khuda ki khudaayi mein aisa payambar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Zulaikha thi jispe fida jaan o dil se
Yun yusuf bade khoobsoorat the lekin
Rukhe mustafa se haseen rooh e anwar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Nabi saare mehboob hain qibriya ke
Magar ueh bhi sach hai bajuz mustafa ke
Habeeb e khuda dono aalam da dilbar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga
Badayi mein purnam wo baad az khuda hain
Shah e ambiya hain shah e do sara hain
Bashar unke rutbe ka allah o akbar
Na pehle tha koi na ab hai na hoga



Writer(s): nusrat fateh ali khan


Nusrat Fateh Ali Khan - Unheard Gems Nusrat Fateh Ali Khan
Album Unheard Gems Nusrat Fateh Ali Khan
date of release
21-09-2012




Attention! Feel free to leave feedback.