Nusrat Fateh Ali Khan - Nargisi Ankh Dorey Lyrics

Lyrics Nargisi Ankh Dorey - Nusrat Fateh Ali Khan



Teri Payal Agar Chanak Jaye
Gardesh-e-Asmaan Titthak Jaye
Tere Hansne Ki Kaifiyat Tauba
Jayse Bijli Chamak Chamak Jaye
Teri Gardan Ka Tazkrah Sun Kar
Jo Surahi Hai Who Chalak Jaye
Le Agar Jhoom Kar Tu Angraie
Zindagi Daar Par Latak Jaye
Choor Hai Aiasse Paak Pan Tera
Jayse Das Das Ke Saamp Thak Jaye
Teri Ankoon Ko Daikh Paiye Agar
Jo Frishta Ho Woh Baihak Jaye
Nargisi Ankh Doray Gulabi
Mast Yeh Husn Hai Mai Ke Pyale
Sheikh Agar Daikh Le Tujh Ko Zalim
Apni Taubah Wahin Torh Dalay
Chain Paye To Kis Tarah Paye
Dil Sambhale To Kaise Sambhale
Jis Ka Dil Parh Gaya Ho Sitam Gar
Teri Kafir Adaon Ke Paalay
Koi Daikhay To Kis Kash Ma Kash Mein
Ae Bimar-e-Ulfat Hai Unka
Aj Hi Maut Hai Anay Wali
Aj Hi Woh Bhi Hain Anay Walay
Kyun Na Ho Jayein Konain Sadqay
Aise Majzoob-e-Ulfat Pe Yaro
Khud To Ho Jaye Ruswa Jahan Mein
Pyar Ka Raaz Dil Mein Chupa Le
Baad Marne Ke Meri Lehed Par
Janay Kya Soch Kar Dil Bhar Aya
Aa Gaye Unki Ankhon Mein Ansoo
Phool Jab Meri Turbat Pe Dalay
Kuch To Kar Ehtram-e-Muhabbat
Kuch To Pas-e-Adab Rakh Lehed Ka
Chadr-e-Gul Charhane Se Pehle
Apni Hathoon Ki Mehendi Chupa Le
Ae Niyaz Apni Barbadiyon Ka
Kar Na Shikwa Shikayat Kisi Se
Hum To Pehle Hi Samjha Rahe Thay
Daikh Zalim Hain Yeh Husn Walay...



Writer(s): Farrukh Fateh Ali Khan, Niaz Usmani


Nusrat Fateh Ali Khan - Nusrat Unplugged
Album Nusrat Unplugged
date of release
12-07-2014




Attention! Feel free to leave feedback.