Nusrat Fateh Ali Khan - Sadgi Toh Hamari Zara Dekhiye Lyrics

Lyrics Sadgi Toh Hamari Zara Dekhiye - Nusrat Fateh Ali Khan



Saadgi toh hamari zara dekhiye
Aitbaar aapke waade par kar liya
Masti mein ik haseen ko khuda keh gaye hain hum
Jo kuch bhi keh gaye hain baja keh gaye hain hum
Wah raftgi toh dekho hamare khaloos ki
Iss saadgi se tujhko khuda keh gaye hum
Kis chok kis tamanna kis darja saadgi se
Hum aapki shikayat karte hain aap hi se
Tere adaab ke rooh daad ho gaye hain hum
Dare khaloos se barbaad ho gaye hain hum
Baat toh sirf ik raat ki thi magar
Intezaar aapka umr bhar kar liya
Ishq mein uljhanein pehle hi kam na theen
Aur paida naya darde sar kar liya
Log darte hain qaaatil ki parchayi se
Humne qaatil ke dil mein hi ghar kar liya
Zikr e ik bewafa aur sitamgar ka tha
Shikwa kiya sitam ka toh namdeeda ho gaye
Tum toh zara si baat par ranjeeda ho gaye
Tera zulm gar nahi shaamil meri barbaadi mein
Phir ye ankhein bheeg rahi hain kyun mere afsaane se
Meri haalat dekh kar
Tum kyun pareshan ho gaye
Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
Aapka aisi baaton se kya waasta
Aap toh bewafa aur sitamgar nahi
Aapne kisliye munh udhar kar liya
Jab junoon aftaab hota hai
Gham ke sagir uchchal deta hoon
Taskara jab wafa ka hta hai
Main tumhari misaal deta hoon
Kyun ankh milayi thi
Kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chchupa baithe
Kar ke mujhe deewana
Zindagi bhar ke shikwe gile the bahut
Waqt itna kahaan tha ke dohraate hum
Ek hichki mein keh daali sab daastan
Humne kisse ko yun mukhtasar kar liya
Beqaraari milegi mitega sukoon
Chain chchin jayegi neend udd jayegi
Apna anjaam sab humko maloom tha
Aap se dil ka sauda magar kar liya
Zindagi ke safar mein bahut door tak
Jab koi dost aaya na humko nazar
Humne ghabra ke tanhayiyon se saba
Ek dushman ko khud humsafar kar liya




Nusrat Fateh Ali Khan - Nusrat's Urdu Collection, Vol. 3
Album Nusrat's Urdu Collection, Vol. 3
date of release
14-10-2012




Attention! Feel free to leave feedback.