Nusrat Fateh Ali Khan - Ya Muhammad Madine Bula Lyrics

Lyrics Ya Muhammad Madine Bula - Nusrat Fateh Ali Khan



Madine wale aaka yeh toh hasrat kam se kam nikle
Tumhara rooh e anwar dekh ke aashiq ka dam nikle
Ya muhammad madine bula lo mujhe
Mere gham ki dawa aur koi nahi
Kisko aaka musibat mein aawaaz dun
Mera tere siwa aur koi nahi
Suno suno mere haajat rawa rasool allal
Mera tere siwa aur koi nahi
Gham ke maaron ka aasra tum ho
Besahaaron ka aasra tum ho
De raha hoon sada par sada rasool allah
Mera tere siwa aur koi nahi
Mere sar se na jab tak musibat tali
Mere aaka main dunga duhaayi teri
Meri fariyaad tere siwa jo sune
Ya nabi mustafa aur koi nahi
Tumse kahunga tum hi sunoge
Tum hi meri laaj rakhoge
Gar tum na sunoge to kaun sunega
Meri fariyaad sun lo
Dukh dard bhare naale mere
Gar tum na suno to kaun sune
Ya muhammad mustafa
Fariyaad hai fariyaad hai
Dil ki chchoti si ik kahaani
Aap sun len to meharbaani hai
Dil ki fariyaad lab pe aayi hai
Kamli wale teri duhaayi hai
Tera dar chchor kar kahan jaaun
Ab kahin aasra nahi milta
Saari duniya ko dekh aaya hun
Koi bhi aapsa nahi milta
Teri rehmat ko aisa taras aa gaya
Maine jo maanga mujhko wohi mil gaya
Tujhse badhke sakhi aur koi nahi
Mujhse badhke gada aur koi nahi
Tu karam hi karam tu ata hi ata
Karam ki ik nazar ho ya muhammad besahaaron par
Badal jaati hain takdeerein tere ik ishaare par
Sultan e haram
Tu karam hi karam
Ab to mayil ba karam chashme karam ho jaaye
Door dilse mere ukba ka alam ho jaaye
Main bhi hun aapse ab reham o karam ka taalib
Mujh pe bhi shah e ummam ek nazar ho jaaye
Talab ka meem to kis kaabil hai aaka
Magar tera karam shamil hai aaka
Waah kya jood o karam hai shah e baduha tera
Nahi sunta hi nahi mangne wala tera
Bad sahi chor sahi mujrim o nakara sahi
Kuch sahi kaisa sahi hun to kareema tera
Meri khataon ki koi inteha nahi lekin
Tu woh karim hai jiska mujhe sahaara hai
Khushk hone na diya tere karam ne mujhko
Ask e hazrat hun nadaamad ka pasina hun main
Tu karam hi karam tu ata hi ata
Main khata hi khata bekason mein nawa
Tujhko deta hoon shabbeer ka waasta
Mujhko aati dua aur koi nahi
Bas yahi ek ′Naadir' ki hai aarzu
Meri sarkaar rakh le meri aabru
Tune bhi gar na mujhko sahaara diya
Phir mera aasra aur koi nahi



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Nadir Jajvi


Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
Album Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
date of release
16-01-2007




Attention! Feel free to leave feedback.