Nusrat Fateh Ali Khan - Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Lyrics

Lyrics Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada - Nusrat Fateh Ali Khan



Is karam ka karu shur kaise ada
Joh karam mujh pe mere nabi ne kiya
Mai saja ta hu sarkar ki mehfile
Mujh ko har gam se rab ne bari kar diya
Zikre sarkar ki hai badi barkate
Mil gayi mujh ko sab azmate nehmate
Mai gunah gar tha beamal tha magar
Mustafa ne mujhe jannati kar diya
Lamha lamha hai mujh par nabi ki aata
Dosto aur mangu mai Maula se kya
Kya yeh kam hai ke mere khuda ne mujhe
Apne mehboob ka ummati kar diya
Joh Dar e Mustafa ke ghada ho gaye
Dekhte dekhte kya se kya ho gaye
Aisi chasme karam ki hai sarkar ne
Mujh gada ko sakhi ne sakhi kar diya
Koi muyus lauta na darbar se
Joh bhi manga mila mere sarkar se
Sadqe jau niyazi mai lajpal ke
Dono aalam me mujh ko sakhi kar diya



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Abdul Sattar Niazi


Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
Album Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
date of release
16-01-2007




Attention! Feel free to leave feedback.